Kyaa kyaa nazaare dikhaatin hain ankhiyaan
Posted on: September 6, 2009
Asha Parekh made her debut in late 1950s. Ghoonghat (1960) was one of her earlier movies.
Here is a stage song from this movie where Asha Parekh and others perform on stage in aid of visually impaired ( of course in those days of political incorrectness, they were called blind).
This song “kyaa kyaa nazaare dikhaati hain ankhiyaan” is written by Shakeel Badayuni and its music is composed by Ravi. The song is sung by Asha Bhonsle and Mahendra Kapoor.
Song-Kya kya nazaare dikhaati hain ankhiyaan (Ghoonghat) (1960) Singers-Asha Bhonsle, Mahendra Kapoor, Lyrics-Shakeel Badayuni,MD-Ravi
Lyrics
ankhiyaan ye ankhiyaan
kyaa kyaa nazaare dikhaati hain ankhiyaan
kyaa kyaa nazaare dikhaati hain ankhiyaan
kabhi hansaati hain kabhi rulaatin hain
kabhi deewaana banaatin hain ankhiyaan
kyaa kyaa nazaare dikhaati hain ankhiyaan
kyaa kyaa nazaare dikhaati hain ankhiyaan
ankhiyon ke hoten hain dore ghulaabi
ankhiyon ke hoten hain dore ghulaabi
masti se dekhen to karde sharaabi
roothi to ho jaaye dil ki kharaabi
roothi to ho jaaye dil ki kharaabi
haay
raaton ki neenden udaatin hain ankhiyaan
raaton ki neenden udaatin hain ankhiyaan
kabhi hansaati hain kabhi rulaatin hain
kabhi deewaana banaatin hain ankhiyaan
kya kya nazaare dikhaati hain ankhiyaan
dam bhar me hotin hain ankhiyaan paraayi
dam bhar me hotin hain ankhiyaan paraayi
apnon se kartin hain ye bewafaayi
dete hain nainon ke maare duhaayi
dete hain nainon ke maare duhaayi
haay
aisa nishaana lagaatin hain ankhiyaan
aisa nishaana lagaatin hain ankhiyaan
kabhi hansaatin hain kabhi rulaatin hain
kabhi deewaana banaatin hain ankhiyaan
kya kya nazaare dikhaati hain ankhiyaan
kya kya nazaare dikhaati hain ankhiyaan
duniya mein rahkar duniya na dekhen
ye kaisi mazboori
hamko bhi koi ankhen de de
kar de aasha poori
majboor aise bhi hain zindagi mein
jinko andhera mila roshni me
jinke guzarte hain din bekasi mein
jinke guzarte hain din bekasi mein
dar dar ki thokar khilaatin hain ankhiyaan
dar dar ki thokar khilaatin hain ankhiyaan
kabhi hansaatin hain kabhi rulaatin hain
kabhi deewaana banaatin hain ankhiyaan
kyaa kyaa nazaare dikhaati hain ankhiyaan
kyaa kyaa nazaare dikhaati hain ankhiyaan




Leave a comment