Archive for the ‘Asha Bhonsle Anwar duet’ Category
This article is written by nahm, a fellow enthusiast of Hindi movie music and a contributor to this blog. This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in other sites without the knowledge and consent of the web administrator of atulsongaday.me, then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.
Blog Day : |
4469 | Post No. : | 15965 |
12/10/2020 – 82nd birth anniversary of Nida Fazli
———————————————————————
Aadmi ki talaash
———————————–
abhi mara nahin zindaa hai aadmi shaayad
yahin kahin use dhoondho yahin kahin hogaa
badan ki andhi guphaa mein chhupa hua hogaa
badha ke haathh
har ek raushni ko gul kar do
hawaayen tez hain jhande lapet kar rakh do
jo ho sake to unn aankhon pe pattiyan kas do
na koyi paaon ki aahat
na saanson ki awaaz
daraa huaa hai woh
kuchh aur bhi na dar jaaye
badan ki andhhi guphaa se na kuchh kar jaaye
yahin kahin use dhoondho
wo aaj sadiyon baad
udaas udaas hai
khaamosh hai
akelaa hai
na jaane kab koyi pasli phadak utthe us ki
yahin kahin use dhoondho yahin kahin hogaa
barh anaho to use phir libaas pehnaa do
andheri aankhon mein sooraj ki aag dehkaa do
bahut badi hai yeh basti kahin bhi dafnaa do
abhi maraa nahin
zinda hai aadmi shaayad
—- NidaFazli —–
Duniya jise kehte hainjaadu kaa Khilona hai
Mil jaaye to mitti hai kho jaaye to sona hai
Nida Fazli , full name Muqtida Hasan Nida Fazli (12 October 1938 to 8 February 2016) is referring to the mesmerising charm of all things worldly and the fickle mindedness of the self, which keeps hankering after the things not gained, which may or may not be within reach.
The name ‘Nida’ means “to call”. In easy urdu /hindi it would mean “pukaar”. I had considered this name for my daughter. But I was dissuaded from this name, due to the meaning being so ambiguous. Because a call could be happy and good as the “Azaan”, or it could also be a call for attention is bad times or when one is in difficulty or desperation i.e. pukaar.
Here a song from the 1981 film “Aahistaa aahistaa” as part of for ‘dheere dheere songs’ series, written by Nida Fazli. This is a melodious composition by Khayyam. I am including ‘aahistaa aahistaa” in this series as it essentially means the same as ‘dheere dheere”.
Three songs from this movie have been covered in the blog so far :-
Song | Date posted |
---|---|
Kabhi kisi ko muqqammal jahaan nahin miltaa | 31 july 2010 |
Maana teri nazar mein | 9 July 2012 |
Jab koi khwaab chamakta hai haqeeqat ban ke | 31 july 2020 |
Padmini Kolhapure and Kunal Kapoor are singing this song on screen. This was a complicated story, I think based on a novel, with Shammi Kapoor and Nanda being the older generation and host of other actors in the cast.
Here is a duet by Asha Bhonsle and Anwar, as a tribute to Poet Nida Fazli on his birth anniversary.
Audio :
Video :
Song-Nazar se phool chunti hai nazar aahista aahistaa (Aahistaa aahistaa) (1981) Singers-Anwar, Asha Bhonsle, Lyrics-Nida Fazli, MD-Khayyam
Both
Lyrics
Nazar se phool chunti hai nazar
nazar se phool chunti hai nazar
aahistaa ahistaa
aahistaa aahistaa
muhobbat rang laati hai magar
muhobbat rang laati hai magar
aahista aahistaa
aahista aahistaa
duaayen de rahe hain ped
mausam jogiyaa saa hai
tumhaara saathh hai jab se
har ek manzar nayaa sa hai
duaayen de rahe hain ped
mausam jogiyaa saa hai
tumhaara saathh hai jab se
har ek manzar nayaa sa hai
haseen lagne lagi har reh-guzar
haseen lagne lagi har reh-guzar
aahistaa aahistaa
aahistaa aahistaa
muhobbat rang laati hai magar
muhobbat rang laati hai magar
aahista aahistaa
aahistaa aahistaa
bahot achche ho tum
bahot achcheho tum
phir bhi hamen tum se
hayaa kyun hai
tumhi bolo hamaare
darmiyaan ye
faasla kyun hai
bahot achcheho tum
phir bhi hamen tum se
hayaa kyun hai
tumhi bolo hamaare
darmiyaan ye faasla kyun hai
mazaa jab hai ke
tay ho ye safar
mazaa jab hai ke
tay ho ye safar
aahista aahistaa
aahista aahistaa
muhobbat rang laati hai magar
muhobbat rang laati hai magar
aahista aahistaa
aahista aahistaa
hamesha se akelepan mein koi
muskuraata hai
ye rishtaa pyaar ka hai
aasmaan se ban ke aataa hai
hamesha se akelepan mein koi
muskuraata hai
ye rishtaa pyaar ka hai
aasmaan se ban ke aataa hai
magar hoti hai dil ko ye khabar
magar hoti hai dil ko ye khabar
aahista aahistaa
aahista aahistaa
muhobbat rang laati hai magar
muhobbat rang laati hai magar
aahista aahistaa
aahista aahistaa
nazar se phool chunti hai nazar
nazar se phool chunti hai nazar
aahista aahistaa
aahista aahistaa
muhobbat rang laati hai magar
muhobbat rang laati hai magar
aahista aahistaa
aahistaa ahistaa
Recent comments