Atul’s Song A Day- A choice collection of Hindi Film & Non-Film Songs

Archive for April 2018


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3573 Post No. : 14317

“Insaaf”(1956) was directed by Kedar Kapoor for Bhagyoday Pictures, Bombay. This movie had Nalini Jaiwant, Ajit, Kamal Kapoor, Ramesh Tiwari, Durga Khote, Helen, Johny Walker etc in it.

There were eight songs in this costume drama (veshbhoosha pradhan) movie. Three song from the movie have been discussed in the past.

Here is the fourth song from “Insaaf”(1956) to appear in the blog. This song is sung by Lata. Asad Bhopali is the lyricist. Music is composed by Chitragupta.

Only the audio of this song is available. I request our knowledgeable readers to throw light on the picturisation of this rare song that sounds like a forgotten gem.


Song-Nazar nazar se ulajh gayi hai (Insaaf)(1956) Singer-Lata, Lyrics-Asad Bhopali, MD-Chitragupta

Lyrics

nazar nazar se ulajh gayi hai
abhi mohabbat nayi nayi hai
mita ke dil ko bahut khushi hai
abhi mohabbat nayi nayi hai

o o o
nasha sa aankhon mein jhoomta hai
nasha sa aankhon mein jhoomta hai
zamaana kadmon ko choomta hai
zamaana kadmon ko choomta hai
ho choomta hai
wo kya miley zindagi mili hai
abhi mohabbat nayi nayi hai
nazar nazar se ulajh gayi hai
abhi mohabbat nayi nayi hai

o o o
nazar mili donon muskuraaye
nazar mili donon muskuraaye
dil un pe aaya
wo dil mein aaye
dil un pe aaya
wo dil mein aaye
wo dil mein aaye
isi tarah baat badh gayi hai
abhi mohabbat nayi nayi hai
nazar nazar se ulajh gayi hai
abhi mohabbat nayi nayi hai

o o o
ye dhadkanen aur ye bekaraari
ye dhadkanen aur ye bekaraari
kahin na khul jaaye baat saari
kahin na khul jaaye baat saari
ho baat saari
abhi ye haalat chhupi hui hai
abhi mohabbat nayi nayi hai
nazar nazar se ulajh gayi hai
abhi mohabbat nayi nayi hai


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3573 Post No. : 14315

“Ladki”(1953) was produced by A V Meyiappan and directed by M V Raman for AVM Productions, Madras. The movie was also simultaneously made in Tamil and Telugu, where they were titled “Penn” and “Sangham” respectively.

“Ladki”(1953) had Bharat Bhushan, Vyjyanti Mala, Kishore Kumar, Anjali devi, V Nagiya, Leela Mishra, Randheer, Indira Acharya, Raj Mehra, Master Chhotu, Umesh Sharm, Om Prakash etc in it.

The movie had 14 songs in it. Six songs have been covered in the past.

Here is the seventh song from “Ladki”(1953) to appear in the blog. The song is sung by Lata. Rajinder Krishan is the lyricist. Music is composed by C Ramchandra.

The song is picturised as a dance song on Vyjyanti Mala.

Audio

Video

Song-Tod ke duniya ki deewaar balamwa kar le mujhse pyaar(Ladki)(1953) Singer-Lata, Lyrics-Rajinder Krishan, MD-C Ramchandra

Lyrics

aa aa aa aa
hurr
aa aa aa aa
hurr ho

tod ke duniya ki deewaar
tod ke duniya ki deewaar
balamwa kar le mujhse pyaar
jo hoga dekha jaayega aa
jo hoga dekha jaayega
jo hoga dekha jaayega
sajaniya naina kar le chaar
sajaniya naina kar le chaar
mohabbat ho jaaye ek baar
jo hoga dekha jaayega aa
jo hoga dekha jaayega
jo hoga dekha jaayega

dil maange teri preet
ho dhola ban ja mera meet
dil maange teri preet
ho dhola ban ja mera meet
main kitni galiyaan kar ke paar
main kitni galiyaan kar ke paar
ho sainyya aayi tere dwaar
jo hoga dekha jaayega
jo hoga dekha jaayega
jo hoga dekha jaayega

aa aa aa aa
aa aa aa aa
tum khadi ho mujhse door
tum khadi ho mujhse door
nahin ye
nahin ye baat hai manzoor
nahin ye baat mujhe manzoor
jaley jo jalta hai sansaar
jaley jo jalta hai sansaar
aa ban ja mere galey ka haar
jo hoga dekha jaayega aa
jo hoga dekha jaayega
jo hoga dekha jaayega

lo aaj gaya hai mil
ho tere dil se mera dil
lo aaj gaya hai mil
ho tere dil se mera dil
mohabbat ka pahla ikraar
mohabbat ka pahla ikraar
kiya hai pahli pahli baar
jo hoga dekha jaayega aa
jo hoga dekha jaayega
tod ke duniya ki deewaar
balamwa kar le mujhse pyaar
jo hoga dekha jayega aa
jo hoga dekha jaayega
jo hoga dekha jaayega


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3573 Post No. : 14315

“Toofaan”(1954) was directed by Ram Prakash for Starlight Pictures. The movie had Pratima Devi, Munawwar Sultana, Sajjan, Vijayalaxmi, Amarnath, Niranjan Sharma, Pran, Tiwari etc in it.

There were nine songs in the movie. Three of these songs have been covered in the past.

Here is the fourth song from “Toofaan”(1954) to appear in the blog. This song is sung by Lata. Kaif Irfani is the lyricist. Music is composed by S D Batish.

Only the audio of this song is available. I request our knowledgeable readers to throw light on the picturisation of this song.


Song-Bahut din beet gaye baalma (Toofaan)(1954) Singer-Lata, Lyrics-Kaif Irfani, MD-S D Batish

Lyrics

o o o
o o o
o o o haay
aa aa aa
aa aa aa

bahut din beet gaye baalma
na mukh dikhlaaya
na khat kabhi aaya
sandeswa na laaya
kaaga bol bol ke
bahut din beet gaye baalma

ye chaman ye kaliyaan
ye phoolon ka sama
ye chaman ye kaliyaan
ye phoolon ka sama
o koyaliya bata de
mora piya hai kahaan
ye chaman ye kaliyaan
ye phoolon ka sama
jiya bas me nahi bairi bas me nahin
haaye bas me nahi
ho baadal ghir aaya
khayal tera aaya
sandeshwa na laaya
kaaga bol bol ke
bahut din beet gaye baalma

o o o
o o o
haay
aa aa aa
aa aa aa
mora aanchal hawa mein ajab rang laaye
mora aanchal hawa mein ajab rang laaye
jaise jiya ki dhadkan mohe ye bataaye
jaise jiya ki dhadkan mohe ye bataaye
saajan ne hai aana
piya ne hai aana
baalam ne hai aana
ho baadal ghir aaya
khayal tera aaya
sandeswa na laaya
kaaga bol bol ke
bahut din beet gaye baalma

koi jaa ke balam se ye kahde batiyaan
koi jaa ke balam se ye kahde batiyaan
teri raahen taken meri do ankhiyaan
koi jaa ke balam se ye kahde batiya
dil yaad kare fariyaad kare
haaye yaad kare
ho baadal ghir aaya
khayaal tera aaya
sandeswa na laaya
kaaga bol bol ke
bahut din beet gaye baalma
o o o
o o o
haay
aa aa aa aa
aa aa aa


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3572 Post No. : 14314

“Sangam”(1954), not to be confused with “Sangam”(1964) was produced by J P Agrawal and directed by Kiran Kumar for Rajhans Pictures, Bombay. This “social” movie had Kamini Kaushal, Shekhar, Shashikala, K N Singh, Murad, Rajrani, Chaman Puri, Ratan, Neera, Jeewan etc in it.

The movie had seven songs in it. Two of these songs have been covered in the past.

Here is the third song from “Sangam”(1954) to appear in the blog. The song is sung by Talat Mehmood and Mubarak Begam. S H Bihari is the lyricist. Music is composed by Ram Ganguly.

Only the audio of the song is available. I request our knowledgeable readers to throw light on the picturisation of this song.

Audio

Song-Tera bachpan ek kahaani (Sangam)(1954) Singers-Talat Mehmood, Mubarak Begam, Lyrics-S H Bihari, MD-Ram Ganguly
Both

Lyrics

ho ho ho
ho ho ho
ho ho ho
ho ho ho
ho ho ho
ho ho ho

tera bachpan ek kahaani
tera bachpan ek kahaani
tera bachpan ek kahaani
tera bachpan ek kahaani
bhool na jaana
baalapan ki yaad suhaani
ho ho ho
bachpan ek kahaani

aayegi kaamini aayegi
tujhe aake jhoola jhulaayegi ee
tujhe aake jhoola jhulaayegi
tera nanha nanha jiya bahlayegi
phir kahegi
kya
thhanda thhanda sa mausam
chalen wahaan
hanse chanda jahaan

ho ho ho ho
bachpan ek kahaani

aankh milne lagi
pyaar hone laga aa aa
aankh milne lagi
pyaar hone laga
dil tera mera bekaraar hone laga
haay hone laga
lagi manzil pe aane jawaani ee

ho ho ho ho
bachpan ek kahaani

kahe hans kar ye tasveer
teri jaag uthhi taqdeer
kahe hans kar ye tasveer
teri jaag uthhi taqdeer
teri albeli shaan
dekhe saara jahaan
le tu huaa jawaan

ho ho ho
bachpan ek kahaani
bhool na jaana baalaapan ki yaad suhaani
ho ho ho ho
bachpan ek kahaani
tera bachpan ek kahaani
tera bachpan ek kahaani


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3572 Post No. : 14313

“Raftaar”(1955) was produced and directed by Nakshab for Fimco, Bombay. The movie had Nadira, Talat Mehmood, Lotan, Baby Naaz, Meenakshi, Bikram Kapoor, Hublikar, Raju, Abbas, Tariq, Mahesh, Swami, Ameena Bai, Mohan etc in it.

The movie had ten songs in it. Four songs have been covered in the past.

Here is the fifth song from “Raftaar”(1955) to appear in the blog. The song is sung by Shamshad Begam. Nakshab is the lyricist. Music is composed by Shivram.

Only the audio of the song is available. I request our knowledgeable readers to throw light on the picturisation of the song.


Song-Jaadu bhare naina tihaare balam (Raftaar)(1955) Singer-Shamshad Begam, Lyrics-Nakshab, MD-Shivram

Lyrics

ho o o
ho o o

jaadu bhare naina
jaadu bhare naina tihaare balam
jaadu bhare naina tihaare balam
tore sar ki kasam jaadu daar gaye
haan haan
tore sar ki kasam jadu daar gaye
haye humen maar gaye
ho hume maar gaye ae
jaadu bhare naina

bholi bhaali nazar gayi dil mein utar
bholi bhali nazar gayi dil mein utar
hua wo hi ki jiska thha pahle se dar
chupke chupke ae
chupke chupke
idhar lut gayi zindagi
idhar lut gayi ee zindagi
aur udhar bekhabar hi raha bekhabar
banki tirchi najariya ke teer
gaye manva ko cheer
karejwa ke paar gaye
haaye haaye raam
karejwa ke paar gaye
haaye re humen maar gaye
ho humen maar gaye ae
jaadu bhare naina

pyaari pyari ada le gayi dil chura
pyaari pyaari ada le gayi dil chura
kaisa aankhon hi aankhon mein jaadu kiya
chori chori ee
chori chori
huyi saari rasm e ada
huyi saari rasm e ada aa aa
dil ki baazi mein dil par na kaabu raha aa
dekho dekho muhabbat ki reet
gaye duniya se jeet
sajanva se haar gaye
haaye haaye raam
sajanva se haar gaye
haaye re humen maar gaye
ho humen maar gaye ae
jaadu bhare naina


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3572 Post No. : 14312

“Putli”(1950) was produced and directed by Wali Sahab for Punjab Film Corporation, Bombay. The movie had Mumtaz Shanti ,Pran, Yaqoob, Husn Banu, Srinath, Majnu, Prem Dhawan, Ramesh Thakur , Sheela Naik etc in it.

The movie had eleven songs in it. Three songs from the movie have been covered in the past.

Here is the fourth song from the movie. HFGK mentions this song as sung by Meena Kapoor. On listening to the song, one can notice that the song has a male voice as well. There were two lyricists in the movie viz Wali Sahab and Abid Gulrez. HFGK is silent about the lyricist of the song. Seeing that Wali sahab was the maker of this movie, one can assume that most songs, including this song, must have been penned by him. So I have assumed Wali Sahab as the lyricist of this song.

Picturisation shows Mumtaz Shanti and a gentleman standing in front of microphones and singing. They are either singng live for the radio or or they are recording- I am not sure.

I request our knowledgeable readers to throw light on the identification of the male singer as well as the male actor in the picturisation.

There were two music directors in the movie. Music of this song is composed by Aziz Hindi.

Audio

Video

Song-Koi ambuwa pe piyu piyu gaaye re piya (Putli)(1950) Singers-Meena Kapoor, Male voice, Lyricist-Wali Sahab, MD-Aziz Hindi

Lyrics

koi ambuwa pe
koi ambuwa pe piyu piyu gaaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya
koi ambuwa pe piyu piyu gaaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya

jab kaali kaali ratiyon mein pyaari pyaari yaad teri aati hai
tere pyaar ki kasam saari raat hamen neend nahin aati hai
jab kaali kaali ratiyon mein pyaari pyaari yaad teri aati hai
tere pyaar ki kasam saari raat hamen neend nahin aati hai
jab kaali kali
jab kaali kaali ghat chha jaaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya
koi ambuwa pe piyu piyu gaaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya

lambi lambi raaten piya lambe lambe din
haaye lambe lambe din
lambi lambi raaten piya lambe lambe din
haaye lambe lambe din
teri yaad mein kaate maine gin gin din
gin gin din
teri yaad mein kate maine gin gin din
gin gin din
ab tere bina
ab tere bina sachmuch haaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya
koi ambuwa pe piyu piyu gaaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya

o o o
o o o
o o o

aa aa
aa aa aa
aa aa aa
neem taley ankhiyaan milaana nahin bhoolna
milaana nahin bhoolna aa aa
o o o
neem taley ankhiyaan milaana nahin bhoolna
milaana nahin bhoolna aa aa
pyaar ki gali mein piya aana nahin bhoolna
aana nahin bhoolna
aa aa aa aa
pyaar ki gali mein piya aana nahin bhoolna
aana nahin bhoolna
ye sama suhaana
ye sama suhaana beeta jaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya
koi ambuwa pe piyu piyu gaaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya
jab kaali kaali ghat chha jaaye re piya
main na jaanoon teri yaad kyun aaye re piya


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3571 Post No. : 14311

“Kaneez”(1949) was directed by Krishn Kumar for Caravan Pictures, Bombay. The movie had Shyam, Munawwar Sultana, Urmila, Kuldeep, Cuckoo, Tiwari, Ramesh Sinha, Shyama etc in it.

There were twelve songs in the movie. Ten of these songs have been discussed in the past.

According to HFGK, the movie had two music directors viz Ghulam Haider and Hansraj Bahl. Hansraj Bahl is credited with two songs and Ghulam Haider with seven songs. Credits are not given for the remaining three songs.

Here is the eleventh song from “Kaneez”(1949) to appear in the blog. This song is sung by Shamshad Begam. Lyricist as well as the music director of this song is not known. Uploader of this song (our own Mr Sadanand Kamath) feels that Ghulam Haider is the composer of this song and that thiis song may have been picturised on Cuckoo. I find myself agreeing with these guesses. So I have considered Ghulam Haider as the music director of this song.


Some-Lo jaam mohabbat ka pi lo (Kaneez)(1949) Singer-Shamshad Begam, MD-Ghulam Haider

Lyrics

lo jaam mohabbat ka pee lo
lo jaam mohabbat ka pee lo
more rasiya
ho more rasiya
more rasiya
ho more rasiya
lo jaam mohabbat ka pee lo
lo jaam mohabbat ka pee lo

dekho jee wo dekho baadal aaye
dekho jee wo dekho baadal aaye
masti ke paimaane bhar bhar laaye
masti ke paimaane bhar bhar laaye
o o o
jhoom uthhi hai
jhoom uthhi bharpoor jawaani
haay jiya jaaye
o o o o
jhoom uthi bharpoor jawaani
haay jiya jaaye
do ghoont jawaani ke pee lo
o dghoont jawaani ke pee lo
lo jaam mohabbat ka pee lo
lo jaam mohabbat ka pee lo

o o o o
sheeshe ki chilman mein mast jawaani
sheeshe ki chilman mein mast jawaani
jisko pee kar duniya ho deewaani
jisko pee kar duniya ho deewaani
o o o o
aag bhari hai
aag bhari hai boond boond mein
kaun kahe ye paani
o o o o
aag bhari hai boond boond mein
kaun kahe ye paani
lo haath badhaa kar tum bhi lo
lo haath badhaa kar tum bhi lo
lo jaam mohabbat ka pee lo
lo jaam mohabbat ka pee lo

jeene ke ye din hain baalam thhode
jeene ke ye din hain baalam thhode
aao khenchen nain gulaabi dore
aao khenchen nain gulaabi dore
o o o o
aur na ab tadpaao dil ko
chhaale ban gaye phode
o o o o
aur na ab tadpaao dil ko
chhaale ban gaye phode
mere dil ke zakhmon ko see lo
mere dil ke zakhmon ko see lo
lo jaam mohabbat ka pee lo
lo jaam mohabbat ka pee lo


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3571 Post No. : 14310

“Pardesi Mehmaan”(1948) was directed by Aspi for Ranjit Movietone, Bombay. The move had Kamal Kapoor, Husn Banu, Rajrani, Ghulam Mohammed, Sheikh Hasan, Abdul Rehman, Afghan Sandow, Azim, Bipin Gupta, Kaizer etc in it.

The movie had 11 songs in it. Four of these songs have been covered in the past.

Here is the fifth song from “Pardesi Mehmaan”(1948) to appear in the blog. The song is sung by Husn Bano. Pt Indra is the lyricist. Music is composed by Hansraj Bahl.

Only the audio of this rare song is available. Seeing that Husn Bano’s name is there in the cast, it can be safely assumed that the song is picturised on herself. From the lyrics, this song is obviously the dukhda of a dukhiyaari who is expected to lead her life while suffering in silence. 🙂


Song-Pee aansoo pee aansoo pee aahen bhar bhar jee(Pardesi Mehmaan)(1948) Singer-Husn Bano, Lyrics-Pt Indra, MD-Hansraj Bahl

Lyrics

pee aansoo pee aansoo pee
pee aansoo pee aansoo pee
aahen bhar bhar jee
aahen bhar bhar jee
pee aansoo pee aansoo pee
aahen bhar bhar jee
aahen bhar bhar jee

sab kuchh sahna kuchh na kahna
sab kuchh sahna kuchh na kahna
dheeraj dharna chup ho rahna
dheeraj dharna chup ho rahna
preet ki reet yahi
preet ki reet yahi
aahen bhar bhar jee
aahen bhar bhar jee

maut se ladna aahon se jalna
aahon se jalna
maut se ladna aahon se jalna
aahon se jalna
banke bigadna
ji se gujrna
banke bigdna
ji se gujrna
preet mein peer bhari
preet mein peer bhari
aahen bhar bhar jee
aahen bhar bhar jee

hogi sunaani prem kahaani
prem kahaani
hogi sunaani prem kahaani
prem kahaani
jalti nishaani
aankhon ka paani
jalti nishaani
aankhon ka paani
paani mein aag bhari
paani mein aag bhari
aahen bhar bhar jee
aahen bhar bhar jee
pee aansoo pee aansoo pee
pee aansoo pee aansoo pee
aahen bhar bhar jee
aahen bhar bhar jee


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3571 Post No. : 14309

“Stage”(1951) was directed by Vijay Mhatre for Jeewan Pictures Production, Bombay. The movie had Dev Anand, Ramola, Sunder, Cuckoo, Ramsingh, Kuldip Kaur, Gulab, Raj Mehra, Mubarak etc in it.

The movie had 12 songs in it. Three songs have been covered in the past.

Here is the fourth song from “Stage”(1951) to appear in the blog. This song is sung by Lata. Sarshar Sailaani is the lyricist. Music is composed by Husnlal Bhagatram.

Only the audio of the song is available. I request our knowledgeable readers to throw light on the picurisation of this song.

Audio

Song-Mohabbat mein hansi do din ki rona zindagi bhar ka (Stage)(1951) Singer-Lata, Lyrics-Sarshar Sailaani, MD-Husnlal Bhagatram

Lyrics

kisi se ae pyaar karna
zindagi barbaad karna hai
zara sa muskura ke umr bhar fariyaad karna hai
mohabbat mein hansi do din ki rona zindagi bhar ka
mohabbat mein hansi do din ki rona zindagi bhar ka

o o o
badi bedard hai duniya
ho o o
badi bedard hai duniya
bada zaalim zamaana hai
bada zaalim zamaana hai
magar is raaz ko barbaad hoker hamne jaana hai
mohabbat mein hansi do din ki rona zindagi bhar ka
mohabbat mein hansi do din ki rona zindagi bhar ka

jawaani mein tabeeyat pyaar se kab baaz aati hai
jawaani mein tabeeyat pyaar se kab baaz aati hai
mere toote huye dil se yahi aawaaz aati hai
yahi aawaz aati hai
mohabbat mein hansi do din ki rona zindagi bhar ka
mohabbat mein hansi do din ki rona zindagi bhar ka


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3571 Post No. : 14308

“Bada Kabootar”(1973) was produced and directed by Deven Verma for Navratna Films, Bombay. It was a light hearted movie (routinely categorirised as “social” movie in HFGK) which had Ashok Kumar, Rehana Sultan, Nikhilesh, Deven Verma, Keshto Mukherji, Subroto, Ashoo, Pinchoo Kapoor, Leela Mishra, Paul Sharma, Jal Parvez, Helen etc with lots of “new discoveries” viz Saajan, Kailash Sharma, Sameena, Master Ashwin and Master Ramesh, who quickly reverted back to remain undiscovered.

The movie had five songs in it. Here is the first song from “Bada Kabootar”(1973) in the blog. this song is the title song of the movie which appears gets played in the background while credits roll on the screen. The credits finish off soon enough and so this song has no chance to get played fully in the movie and only the first stanza of the is there in the movie. So one needs to listen to the record version of the song in order to listen to the full song.

Here is this title song of “Bada Kabootar”(1973). It is sung by Bhupinder Singh and chorus. Yogesh is the lyricist of this song whose lyrics are quite un Yogesh like. 🙂

Music is composed by R D Burman.

With this song, “Bada Kabootar”(1973) makes its debut in the blog.

Video

Audio

Song-Bada kabootar ud jaayegaa (Bada Kabootar)(1973) Singer-Bhupinder Singh, Lyrics-Yogesh, MD-R D Burman

Lyrics

bada kabootar ud jaayega
haath mein anda rah jaayega
phoot jaayega anda ik din
bada kabootar ud jaayega
bada kabootar ud jaayega
haath mein anda rah jaayega
phoot jaayega anda ik din
bada kabootar ud jaayega
bada kabootar
kabootar
bada kabootar
kabootar

koi na samjha koi na jaana
haaye ye gorakh dhandha
pehle jag mein aaya kabootar
ya phir aaya anda
koi na samjha koi na jaana
haaye ye gorakh dhandha
pehle jag mein aaya kabootar
ya phir aaya anda
papapa aa
papapa
papapapa
papapapapa
aur ulajh jaayega
arrey jo isko suljhaayega
bada kabootar
kabootar
ho bada kabootar ud jaayega
haath mein anda rah jaayega
phoot jaayega anda ik din
bada kabootar ud jaayega
bada kabootar
kabootar
ho bada kabootar
wa aa wa aa
wa aa wa aa

dekh samay ka shokh(?) kabootar
chalta hai yoon ud ke
jaise tez hawa ka jhonka
dekhe na phir mud ke
oo dekh samay ka shokh(?) kabootar
chalta hai yoon ud ke
jaise tez hawa ka jhonka
dekhe na phir mud ke
papapa aa
papapapa
papapapa
papapapa
sath chala chal iske varna hath nahin kuchh aayega
bada kabootar
kabootar
ho bada kabootar ud jaayega
haath mein anda rah jaayega
phoot jaayega anda ik din
bada kabootar ud jaayega bada kabootar
kabootar
ho bada kabootar
kabootar
ho bada kabootar
kabootar
ho bada kabootar
kabootar


What is this blog all about

This blog discusses Bollywood songs of yesteryears. Every song has a brief description, followed by a video link, and complete lyrics of the song.

This is a labour of love, where “new” songs are added every day, and that has been the case for over FIFTEEN years. This blog has over 18300 song posts by now.

This blog is active and online for over 5000 days since its beginning on 19 july 2008.

Important Announcement

(© 2008 - 2024) atulsongaday.me The content of this site is copyrighted and it may not be reproduced elsewhere without prior consent from the site/ author of the content.

Total number of songs posts discussed

18304

Number of movies covered in the blog

Movies with all their songs covered =1411
Total Number of movies covered=4951

Total visits so far

  • 16,469,349 hits

Enter your email address to subscribe to this blog and receive notifications of new posts by email.

Join 2,005 other subscribers

Bookmark

Bookmark and Share

Category of songs

Current Visitors

Historical dates

Blog Start date: 19 july 2008

Active for more than 5000 days.

Archives

Stumble

visitors whereabouts

blogadda

blogcatalog

Music Blogs - BlogCatalog Blog Directory