Apni bhi kyaa zindagi hai niraali
Posted on: August 29, 2010
When one thinks about a drunkard going past a deserted street at night, then what Mukesh song appropriate to the occasion occurs to one’s mind ? Is it Zindagi khwaab hai (Jaagte Raho) ? This song was picturised on Motilal, who was a distant relative of Mukesh.
Here is another song of the same genre. The situation is similar, the singer is same, and come to think of it, even lyricist (Shailendra) is same. But that is where the similarity ends. This song from “Aas Ka Panchhi” (1961) is composed by Shankar Jaikishan, whereas Salil Chaudhary was the music director of “Jaagte Raho” (1956). In the song of “Aas Ka Panchhi” (1961), it is Rajendra Kumar who plays the drunkard.
This song is “new” song for me, but it is one that is quickly growing over me.
Audio
Video
Song-Apni bhi kyaa zindagi hai niraali (Aas Ka Panchchi) (1961) Singer-Mukesh, Lyrics-Shailendra, MD-Shankar Jaikishan
Lyrics
raah ke taalib hain par
beraah padte hain qadam
dekhiye kyaa dhoondhte hain
aur kyaa paate hain ham
apni bhi kyaa zindagi hai niraali
jahaan gaye thukraaye gaye
jaise botal khaali
apni bhi kyaa zindagi hai niraali
jahaan gaye thukraaye gaye
jaise botal khaali
apni bhi kyaa zindagi hai niraali
jahaan gaye thukraaye gaye
jaise botal khaali
rangeen wo zamaanaa thaa
sapnaa wo kyaa suhaanaa thaa
tab subah-o-shaam khushiyon ke jaam
har saans ek taraanaa thaa
rangeen wo zamaanaa thaa
sapnaa wo kyaa suhaanaa thaa
tab subah-o-shaam khushiyon ke jaam
har saans ek taraanaa thaa
ab to bas har ghadi
dukh bhari bebasi
aas ki har kiran ashq ban bah gayi
apni bhi kyaa zindagi hai niraali
jahaan gaye thukraaye gaye
jaise botal khaali
apni bhi kyaa zindagi hai niraali
jahaan gaye thukraaye gaye
jaise botal khaali
kyaa neend kisko sonaa hai
ab saari raat ronaa hai
dukhde bichhaa ke
sab kuchh bhulaa ke
bas ek baar sonaa hai
kyaa neend kisko sonaa hai
ab saari raat ronaa hai
dukhde bichhaa ke
sab kuchh bhulaa ke
bas ek baar sonaa hai
zindagi-zindagi o meri laadli
aa gale mil hai shaayad ye raat aakhri
apni bhi kyaa zindagi hai niraali
jahaan gaye thukaraaye gaye
jaise botal khaali
apni bhi kyaa zindagi hai niraali
jahaan gaye thukaraaye gaye
jaise botal khaali




June 8, 2014 at 11:57 am
Nice One ..
LikeLike