Kise maaloom thhaa ik din muhabbat bezubaan hogi
Posted on: January 22, 2012
“Saaqi” (1952) is a movie which was produced by Talwar Films and directed by H S Rawail. The starcast of the movie included names like Premnath, Madhubala, Cuckoo, Bipin Gupta, Iftekhar, Gope, Mohana, Randhir, Mumtaz, Uma Dutt etc.
Here is a duet from this movie. This song is sung by Lata and Talat Mehmood. The song is picturised on Madhubala and Premnath. Rajinder Krishan is the lyricist and music is composed by C Ramchandra.
Lyrics of this song were sent to me by Atif M.
Audio
Video
Song-Kise maaloom thhaa ik din muhabbat bezubaan hogi (Saaqi)(1952) Singers-Lata, Talat Mehmood, Lyrics-Rajinder Krishan, MD-C Ramchandra
Lyrics(Provided by Atif M)
arzooen ro rahi hain
ae ae
hasratein barbaad hain
ae ae
hum zamaane mein faqat
ik dukh bhari fariyaad hain
kise maaloom thha
ik din mohabbat bezubaan hogi
kise maaloom thha
ik din mohabbat bezubaan hogi
woh zaalim aasman jaane
meri duniya kahaan hogi
kabhi ik khwaab dekha thha
mere pehlu mein tum hoge
kabhi ik khwaab dekha thha
mere pehlu mein tum hoge
mere pehlu mein tum hoge
kahaani pyaar ki
aankhon hi aankhon mein bayaan hogi
kahaani pyaar ki
aankhon hi aankhon mein bayaan hogi
kise maaloom thha
ik din mohabbat bezubaan hogi
lahu dil ka
meri aankhon ka paani
ban ke kehta hai
lahu dil ka
meri aankhon ka paani
ban ke kehta hai
yeh paani ban ke kehta hai
na hum honge na tum hoge
hamaari daastaan hogi
na hum honge na tum hoge
hamari daastan hogi
kise maaloom thha
ik din mohabbat bezubaan hogi
woh zaalim aasman jaane
meri duniya kahaan hogi
meri duniya kahaan hogi
meri duniya kahaan hogi
meri duniya kahaan hogi
meri duniya kahaan hogi
meri duniya kahaan hogi




January 24, 2012 at 4:02 am
Atulji,
It’s missing from the list.
LikeLike