Maine kya kiya sitam
Posted on: February 4, 2012
“Kaali Ghata” (1951) was a Hindustan Chitra Production. It was directed by Kishore Sahu. The starcast included Kishore Sahu, Bina Rai, Asha Mathur, Gope, Ulhas, Samson, Jeevan, Cuckoo etc.
Three songs from this movie have been discussed in the past. Here is another song from the movie. This song is sung by Lata and it is picturised on Bina Rai.
Hasrat Jaipuri is the lyricist. Music is composed by Shankar Jaikishan.
Lyrics of this song were sent to me by Atif M.
Audio
Video
Song-Maine kyaa kiya sitam ye maine kya kiya (Kaali Ghata)(1951) Singer-Lata, Lyrics- Hasrat Jaipuri, MD-Shankar Jaikishan
Lyrics(Provided by Atif M)
jiyenge jab talak hum
un ki baaten yaad aayengi
khushi ki chhaaon mein guzrin
woh raaten yaad aayengi
maine kya kiya sitam
yeh maine kya kiya
ik saathi mila thha ulfat ka
us ko bhi kho diya
maine kya kiya sitam
yeh maine kya kiya
ik saathi mila thha ulfat ka
us ko bhi kho diya
maine kya kiya
khoyi huyi kisi ki woh
soorat nazar mein hai
dil mein hai zakhm
daagh-e-mohabbat jigar mein hai
dil mein hai zakhm
daagh-e-mohabbat jigar mein hai
ik chaahne waale ko
maine badla kya diya
maine kya kiya sitam
yeh maine kya kiya
ik saathi mila thha ulfat ka
us ko bhi kho diya
maine kya kiya
chubhne lagi hai ab to
chubhne lagi hai ab to
in aankhon mein neend bhi
chubhne lagi hai ab to
in aankhon mein neend bhi
haathon se apne loot li
apni hi zindagi
haathon se apne loot li
apni hi zindagi
rotey hain un ki yaad mein
qismat se kya gila
maine kya kiya sitam
yeh maine kya kiya
ik saathi mila tha ulfat ka
us ko bhi kho diya
maine kya kiya
dil ki yeh aarzoo hai
phir aahen bhara karen
un ko bithha ke saamne
baaten kiya karen
un ko bithha ke saamne
baaten kiya karen
roothha hai koyi dard
mere dil mein reh gaya
maine kya kiya sitam
yeh maine kya kiya
ik saathi mila thha ulfat ka
us ko bhi kho diya
maine kya kiya




Leave a comment