Dil hai lutaa huaa jahaan
Posted on: June 22, 2009
I was aware of “Talaash” of 1969, but I did not know that there was another movie of the same name that was released in 1957.
“Talaash” (1957) starred Ashok Kumar, Bina Rai, Yaaqoob and Jagirdaar.
Here is a lovely song from “Talash” (1957). It is sung by Lata and it is picturised on Bina Rai. Rajinder Krishan wrote the song and C Ramchandra was the music director.
Audio
Video
Song-Dil hai lutaa huaa jahaan (Talaash) (1957) Singer-Lata, Lyrics-Rajinder Krishan, MD-C Ramchandra
Lyrics
dil hai lutaa huaa jahaan
raat bhi hai dhuaan dhuaan
ai meri maut ye bataa
aise me rah gayi kahaan
dil hai lutaa huaa jahaan
raat bhi hai dhuaan dhuaan
ai meri maut ye bataa
aise me rah gayi kahaan
dil hai lutaa huaa jahaan
ab na kisi ko mujhse pyaar
ab na kisi kaa intezaar
ab na kisi ko mujhse pyaar
ab na kisi kaa intezaar
dil ki khizaan chali gayi
meri khushi ki wo bahaar
dil ki khizaan chali gayi
meri khushi ki wo bahaar
haath udaa ke chal diyaa
aa aa
dil hai lutaa huaa jahaan
raat bhi hai dhuaan dhuaan
ai meri maut ye bataa
aise me rah gayi kahaan
dil hai lutaa huaa jahaan
ai dil-e-beqaraar sun
bhool jaa ab khushi ki dhun
ai dil-e-beqaraar sun
bhool jaa ab khushi ki dhun
phoolon se teraa kaam kyaa
kaanton ko chun sake to chun
phoolon se teraa kaam kyaa
kaanton ko chun sake to chun
ab na kisi ki aas kar
aa aa
ab na kisi ki aas kar
aayegaa kaun ab yahaan
dil hai lutaa huaa jahaan
raat bhi hai dhuaan dhuaan
ai meri maut ye bataa
aise me rah gayi kahaan
dil hai lutaa huaa jahaan




Leave a comment