Kahaan ho tum zaraa aawaaz do
Posted on: September 20, 2009
“Malhaar” (1951) had some wonderful songs in it. I have posted a couple of songs in this blog and I need to post more songs from this movie.
Here is another song from this movie. “kahaan ho tum aawaaz do” is a duet which is sung by Lata and Mukesh. Kaif Irani is the lyricist and Roshan is the music director.
I listened to this song for the first time only just now. And I am highly impressed.
Audio
Video
Song-Kahaan ho tum zaraa aawaaz do (Malhaar) (1951) Singers-Lata, Mukesh, Lyrics-Kaif Irfani, MD-Roshan
Lyrics
kahaan ho tum, zaraa aawaaz do,
ham yaad karte hain
kabhi bharte hain aahen aur kabhi fariyaad karte hain
kahaan ho tum, zaraa aawaaz do
judaa bulbul hai apne phool se
aur ro ke kahti hai
judaa bulbul hai apne phool se
aur ro ke kahti hai
bhari duniyaa diyaa wo zulm jo sayyaad karte hain
kahaan ho tum, zaraa aawaaz do
jahaan hain aur ab jis haal mein hain,
ham tumhaare hain
jahaan hain aur ab jis haal mein hain,
ham tumhaare hain
tumhi aabaad ho dil mein,
tumhi ko yaad karte hain
kahaan ho tum, zaraa aawaaz do
ham yaad karte hain
hamaari bebasi ye hai ke ham kuchh kah nahin sakte
hamaari bebasi ye hai ke ham kuchh kah nahin sakte
wafaa badnaam hoti hai agar fariyaad karte hain
kahaan ho tum, zaraa aawaaz do
tere kadmon mein rahne ki tamannaa dil mein rakhte hain
tere kadmon mein rahne ki tamannaa dil mein rakhte hain
judaa duniyaa ne hamko kar diyaa fariyaad karte hain
kahaan ho tum, zaraa aawaaz do
ham yad karte hain
kahaan ho tum




September 21, 2009 at 5:51 am
Beautiful duet, one of Lata-Mukesh’s best.
LikeLike