Zulam leke aayaa sitam leke aayaa
Posted on: September 27, 2010
Lata was Madan Mohan’s female singer of choice. But Madan Mohan has created some nice songs with other female singers as well.
For example, the most popular Madan Mohan song at Binaca geetmala during Madan Mohan’s life time was not a Lata song but an Asha Bhonsle song, viz Jhumka gira re Bareli ke bazaar me(Mera Saaya). With ASha Bhonsle, Madan Mohan has also come with with a fabulous song like Shokh nazar ki bijliyaan (Woh Kaun Thi) .
Here is a lovely Mujra song composed by Madan Mohan which is sung by Asha Bhonsle. It is from “Khazaanchi” (1958). This song is picturised on Minu Mumtaz, and Minu Mumtaz performs this dance with glee and enthusiasm. Rajinder Krishan is the lyricist.
I was not aware of this song till now, and I find this song a wonderful song to listen to.
Audio
Video
song-Zulam leke aayaa sitam leke aayaa (Khazaanchi) (1958) Singer-Asha Bhonsle, Lyrics-Rajinder Krishan,MD-Madan Mohan
Lyrics
Zulam leke aaya sitam leke aayaa
muhabbat ka zaalim zamaanaa
haan
zulam leke aaya sitam leke aayaa
muhabbat ka zaalim zamaanaa
hamen kyaa khabar thi
muhabbat hai kyaa
nighaahon ki rangeen sharaarat hai kyaa
hamen kyaa khabar thi
muhabbat hai kyaa
nighaahon ki rangeen sharaarat hai kyaa
magar chot khaake hi dil ne kahaa
samajh mein ab aaya qayaamat hai kyaa
zulam leke aaya sitam leke aayaa
muhabbat ka zaalim zamaanaa
haan
zulam leke aaya sitam leke aayaa
muhabbat ka zaalim zamaanaa
badaa ajeeb ladakpan ka wo zamaana thaa
ye biljliyon se pare mera aashiyaanaa thaa
shabaab aate hi wo gul khile meri taubaa
qaraar dilse to seene se dil rawaanaa thaa
zulam leke aaya sitam leke aayaa
muhabbat ka zaalim zamaanaa
haay
zulam leke aaya sitam leke aayaa
muhabbat ka zaalim zamaanaa
kahaan ab zamaane ko aaraam den
ke baithen hain din raat dil thaam ke
kahaan ab zamaane ko aaraam den
ke baithen hain din raat dil thaam ke
lagaa baithin kab se ye beemaariyaa
huye jabse aashiq tere naam ke
zulam leke aaya sitam leke aayaa
muhabbat ka zaalim zamaanaa
haan
zulam leke aaya sitam leke aayaa
muhabbat ka zaalim zamaanaa




Leave a comment