Khuda huzoor ko meri bhi zindagi de de
Posted on: April 30, 2013
“Saawan Ki Ghata” (1966) was produced and directed by Shakti Samanta. The movie had Manoj Kumar, Sharmila Tagore,Mumtaz, Pran, Kundan, Jeevan, Sajjan, Madan Puri, Mohan Choti, Padma Kumari, S. N. Banerjee, Sunder, Mridula etc in it.
Five songs from this movie have been discussed in the past. Here is the sixth song from the movie.
This song is sung by Asha Bhonsle and Usha Mangeshkar. It is picturised on Madhumati and Jeewankala as a mujra song, with Pran, Madan Puri etc also visible as the clients.
S H Bihari is the lyricist. Music is composed by O P Nayyar.
Lyrics of this song were sent to me by Prakashchandra.
Song-Khuda huzoor ko meri bhi zindagi de de (Saawan Ki Ghata)(1966) Singers-Asha Bhonsle, Usha Mangeshkar, Lyrics-S H Bihari, MD-O P Nayyar
Lyrics(Provided by Prakashchandra)
aaa aaa aaa aaa aaa…aaa
aaa aaaaa aaa aaa aaaa aaaaa…aa
khudaa huzoor ko
meri bhi zindagi de de
khudaa huzoor ko meri bhi zindagi de de
bagair aapke behtar hai meraa mar jaanaa aaa
na hogi shammaa toh mehfil ka rang kyaa hogaa
na hogi shammaa toh mehfil ka rang kyaa hogaa
jiyegaa kaisse andhere mein koyee parwaanaa
khudaa huzoor ko meri bhi zindagi de de
khudaa huzoor ko
rahe huzoor ki hum par agar nigaahe karam
toh hum khudaa ko na dhoondhen kabhi khudaa ki qasam
rahe huzoor ki hum par agar nigaahe karam
toh hum khudaa ko na dhoondhen kabhi khudaa ki qasam
hamaare waaste jaanat hai aapki baahein ae
hamaare waaste jannat hai aapki baahein
hilaa sakegi na duniyaa kabhie waffa ke kadam
khudaa huzoor ko meri bhi zindagi de de
bagair aapke behtar hai meraa mar jaanaa aa
khudaa huzoor ko
woh bijliyaan hain
aaa aaaa aaa aaaa
woh bijliyaan hain
nazar mein jo
baadalon mein nahin
aa
sharaab aur bhi hai
aa aaa aaa aaaa
sharaab aur bhi hai
sirf botalon mein nahin
o
woh bijliyaan hain
nazar mein jo baadalon mein nahin
sharaab aur bhi hain
sirf botalon mein nahin
zaraa si baat hai
duniyaa agar isse samjhe ae ae
zaraa si baaaaa……aaaaaaaat
zaraa si baat
zaraa si baat hai
duniyaa agar isse samjhe
woh shammaa dil mein jo jalti hai
mehfilon mein nahin
khudaa huzoor ko meri bhi zindagi de de
bagair aapke behtar hai meraa mar jaanaa aa
na hogi shammaa toh mehfil ka rang kyaa hogaa
jiyegaaa kaisse andhere mein koyee parwaanaa
khudaa huzoor ko




Leave a comment