Unhen bhi raaz e ulfat ki na hone di khabar maine
Posted on: December 27, 2012
“Nateeja” (1947) was a Bombay Talkies movie. It was directed by Najam Naqvi. The movie had Shamim Bano, Yakub, Jillo, Radhika, Maya Devi etc in it.
Here is a song from this movie. This song is sung by Zohrabai Ambalewaali. Nakshab is the lyricist of this song. Music is composed by Rashid Atre.
Lyrics of this song were sent to me by Mr Sadanand Kamath.
Song-Unhen bhi raaz e ulfat ki na hone di khabar maine (Nateeja)(1947) Singer-Zohrabai Ambalewaali, Lyrics-Nakshab, MD-Rashid Atre
Lyrics(Provided by Sadanand Kamath)
unhen bhi raaz-e-ulfat ki
na hone di khabar maine
unhen bhi raaz-e-ulfat ki
na hone di khabar maine
unhen bhi raaz-e-ulfat ki
na hone de khabar maine
nazar mil bhi gayi to
khud bachaa li hai nazar maine
aa aa aaa
aa aa aaa
qadam jab maine rakhaa
raah-e-ulfat mein
to duniyaa ne
ae ae ae
qadam jab maine rakhaa
raah-e-ulfat mein
to duniyaa ne
mujhe aawaaz di
lekin na dekhaa
chaunk kar maine
bhalaa aa aa aa
ghairon se kyaa matlab
jo main unse gilaa kartaa
haay
shikaayat tum se ki hai
tum ko apnaa jaan kar maine
aaa
aa aa aa
kahaan main aur kahaan dair-o-haram ki kashmakash Nakshab
kahaan main aur kahaan dair-o-haram ki kashmakash Nakshab
kisi ke naqsh-e-paa par rakh diyaa jab aaj sar maine
unhen bhi raaz-e-ulfat ki
na hone di khabar maine




Leave a comment