Phir aane lagaa yaad wohi pyaar kaa aalam
Posted on: November 11, 2010
I was neither aware of this movie called “Ye Dil Kisko Doon” (1963) nor this song from the movie. But the obscurity of this movie is easily explainable when you find out who the lead actor of this movie is. It is Shashi Kapoor- enough said. 😀
The picturisation shows Shashi Kapoor with a magic lamp and a genie comes out of the lamp, and that is Raagini. And as can be expected in a Hindi movie under such circumstances- a song commences. Much of the song is sung by Rafi (and lip synced by Shashi Kapoor), a few lines are sung by Usha Khanna (and lip synced by Raagini).
Qamar Jalalabadi is the lyricist. Music is composed not by Usha Khanna (as one may expect) but by Iqbal Qureshi.
This song is a forgotten gem. But then that was only to be expected from a song from this movie.
Audio
Video
Song-Phir aane lagaa yaad wohi pyaar kaa aalam (Ye dil kisko doon) (1963) Singers-Rafi, Usha Khanna, Lyrics-Qamar Jalalabadi, MD-Iqbal Qureshi
Lyrics
phir aane lagaa yaad wohi
pyaar kaa aalam
inkaar kaa aalam
kabhi iqraar kaa aalam
phir aane lagaa yaad wohi
pyaar kaa aalam
pyaar kaa aalam
wo pehli mulaaqaat mein
wo pehli mulaaqaat mein
wo pehli mulaaqaat mein
rangeen ishaare
phir baaton hi baaton mein wo
taqraar kaa aalam
phir aane lagaa yaad wohi
pyaar kaa aalam
pyaar kaa aalam
wo jhoomtaa
bal khaataa
wo jhoomtaa
bal khaataa
wo jhoomtaa bal khaataa huaa
sarv-e-khiraamaan
main kaise bhulaa doon
teri raftaar kaa aalam
phir aane lagaa yaad wohi
pyaar kaa aalam
pyaar kaa aalam
kab aaye thhe wo kab gaye
kab aaye thhe wo kab gaye
kab aaye thhe wo kab gaye,
kuchh yaad nahin hai
aankhon mein basaa hai wohi
deedaar kaa aalam
phir aane lagaa yaad wohi
pyaar kaa aalam
inkaar kaa aalam kabhi
iqaraar kaa aalam
pyaar kaa aalam
pyaar kaa aalam
pyaar kaa aalam
haay pyaar kaa aalam




June 24, 2019 at 12:33 pm
audio
LikeLike
June 24, 2019 at 12:36 pm
video
LikeLike