Nanhi si jaan mein hai jawaani ka sitam kyun
Posted July 31, 2009
on:I have been posting songs from “Nadiya Ke paar” (1948) these days. Those were the days when none of the singinging legends had become legends. For instance, Rafi had yet to become the hottest male playback singer of the era.
Here is a song sung by Rafi and Shamshad Begam from this movie. This song is written by Moti B A and music direction is by C Ramchandra. And I am not sure about the actors on whom this song is picturised.
Song-Nanhi si jaan me hain jawaani ke sitam kyun (Nadiya Ke Paar) (1948) Singers-Rafi, Shamshad Begam, Lyrics-Moti B A, MD-C Ramchandra
Lyrics
nanhi si jaan mein hai jawaani kaa sitam kyun
rag rag mein nashaa aur nashe mein hai dard kyun
haan ab kahe koi
mein hai dard kyun
ye is liye ke zindagi mein pyaar kiyaa jaaye
ye is liye ke zindagi mein pyaar kiyaa jaaye
do chaar din ye pyaar se guzaar diyaa jaaye
do chaar din ye pyaar se guzaar diyaa jaaye
haan do dil jab ek hote hain
tab do bane hain kyun
milne ki tamannaa hai magar
milte nahin hain kyun
ham bhi to sune
kyun nahin milte
ye is liye ke dil pe dil nisaar kiyaa jaaye
ye is liye ke dil pe dil nisaar kiyaa jaaye
do chaar din ye pyaar se guzaar diyaa jaaye
do chaar din ye pyaar se guzaar diyaa jaaye
haan aankhon se aankh mil gayi
phir bhi na chain kyun
haan pahchaan ho gayi hai magar
bebasi hai kyun
haan bhai
phir ye bebasi kyun
ye is liye ke ishq kaa izhaar kiyaa jaaye
ye is liye ke ishq kaa izhaar kiyaa jaaye
do chaar din ye pyaar se guzaar diyaa jaaye
do chaar din ye pyaar se guzaar diyaa jaaye
haan in mast nigaahon mein
pareshaaniyaan hain kyun
betaab do dilon mein yoon
jawaaniyaan hain kyun
zara kahna to
ye phir kyun
ye is liye ke ab naa intazaar kiyaa jaaye
ye is liye ke ab naa intazaar kiyaa jaaye
do chaar din ye pyaar se guzaar diyaa jaaye
do chaar din ye pyaar se guzaar diyaa jaaye
hahahahahahaha
jiyo jiyo
Leave a comment