Dooriyaan nazdeekiyaan ban gayin
Posted on: June 11, 2009
This movie called “Duniya” (1968) managed to remain obscure despite boasting names such as Dev Anand and Vyjyanti Mala. Dev Saab continued his herogiri despite such failures, but Vyjyanti Mala’s reign as one of biggest heoines of those days came to an end soon thereafter.
Here is a duet picturised on the two. It is sung by Asha Bhonsle and Kishore Kumar. Hasrat Jaipuri is the lyricist and Shankar Jaikishan composed the music.
Audio
Video
song-Dooriyaan nazdeekiyaan ban gayin (Duniya) (1968) Singers-Asha Bhonsle, Kishore kumar, Lyrics-Hasrat Jaipuri, MD-Shankar Jaikishan
Lyrics
Dooriyaan nazdeekiyaan ban gayin ajab ittefaaq hai
dooriyaan nazdeekiyaan ban gayin ajab ittefaaq hai
kah daalin kitni baaten ankahi ajab ittefaaq hai
kah daalin kitni baaten ankahi ajab ittefaaq hai
dooriyaan nazdeekiyaan ban gayin ajab ittefaaq hai
aisi milin do nigaahen milti hain jaise do raahen
jaagi ye ulfat puraani gaane lagin hain fizaayen
aah aah
aisi milin do nigaahen milti hain jaise do raahen
jaagi ye ulfat puraani gaane lagin hain fizaayen
pyaar ki shahnaayiyaan baj gayin ajab ittefaaq hai
dooriyaan nazdeekiyaan ban gayin ajab ittefaaq hai
kah daalin kitni baaten ankahi ajab ittefaaq hai
ek dagar pe mile hain ham-tum tum-ham do saaye
aisaa lagaa tumse milkar din bachpan ke aaye
aah aah
ek dagar pe mile hain ham-tum tum-ham do saaye
aisaa lagaa tumse milkar din bachpan ke aaye
waadiyaan ummeed ki saj gayin ajab ittefaaq hai
dooriyaan nazdeekiyaan ban gayin ajab ittefaaq hai
kah daalin kitni baaten ankahi ajab ittefaaq hai
pahle kabhi ajnabi the ab to meri zindagi ho
sapnon mein dekhaa thaa jisko saathi puraane tum hi ho
ho ho ho
pahle kabhi ajnabi the ab to meri zindagi ho
sapnon mein dekhaa thaa jisko saathi puraane tum hi ho
bastiyaan armaan ki bas gayin ajab ittefaaq hai
dooriyaan nazdeekiyaan ban gayin ajab ittefaaq hai
kah daalin kitni baaten ankahi ajab ittefaaq hai
dooriyaan nazdeekiyaan ban gayin ajab ittefaaq hai
3 Responses to "Dooriyaan nazdeekiyaan ban gayin"
This is the only song that has Dev Anand lip-syncing a KK song tuned by Shankar Jaikishan.
Abhay
LikeLike
Nice hummable duet and I think must be the most popular among other songs of this movie, though I like ‘falsafaa pyaar ka tum kya jaano’ too !!
(the earlier is not workable, here is other link)
http://www.youtube.com/watch?v=S20t4oQJsZY
LikeLike




June 11, 2009 at 3:37 pm
I first heard this song as a kid when my uncle (my mom’s brother) sang this song. Nice to see the video. 🙂
LikeLike