Aao Shyaam Sundar ab to shaam ho chali jeewan ki
Posted February 19, 2011
on:“Maashooqaa” (1953) is a movie that starred Mukesh, Suraiyya, Agha, Durga Khote, Kuldeep Kaur etc. I have discussed three songs from this movie in the past. Here is another song from this movie.
This song is sung by Suraiyya and so it can be safely assumed that this song was picturised on her too. Shailendra is the lyricist. Music is composed by Roshan.
Song-Aao Shyam Sundar ab to shaam ho chali jeewan ki(Maashooqaa) (1953) Singer-Suraiyya, Lyrics-Shailendra, MD-Roshan
Lyrics
ek aas ek aasaraa hai tere shyaam kaa
aasraa hai shyaam kaa
ek aas ek aasaraa hai tere shyaam kaa
aasraa hai shyaam kaa
ek deep raah mein jale tumhaare naam kaa
aasaraa hai shyaam kaa
teraa ye jahaan
yahaan meraa aur koi nahin
yahaan meraa aur koi nahin
teraa ye jahaan
yahaan meraa aur koi nahin
yahaan meraa aur koi nahin
toot gayin dor sabhi
ek aas baaqi rahi
Shyaam se milan ki
aao Shyaam Sundar
ab to shaam ho chali
jeewan ki
aao Shyaam Sundar
ab to shaam ho chali
jeewan ki
more nain jhare
naino roye jaise ghataa saawan ki
aao Shyam Sundar
ab to shaam ho chali
jeewan ki
sakhi rain ghire
dheere dheere rain ghire
din to jaise-taise kate
kaise katen ratiyaan
kaise katen ratiyaan
neend aaye kaise jab se base
ankhiyan mein ankhiyaan
ankhiyan mein ankhiyaan
koi jaane naa
jaane naa
mori baat ye lagan ki
aao Shyam Sundar
ab to shaam ho chali
jeewan ki
Leave a Reply