Allah nigehbaan tera
Posted July 23, 2012
on:“Elaan” (1947) was a Mehboob Productions movie. It was produced and directed by Mehboob Khan. The movie had Surendra, Munawwar Sultana, Zebunissa, Agha, Shahnawaz, W. M. Khan, Leela Mishra, Rita, Shaheda, Subhasini, Reehan, Mohammad Afzal etc in it.
Here is a song from this movie. It is sung by Ameerbai Karnataki. It is picturised on a lady who sings this songto her small kid as a lullaby. I am unable to identify her and I request our knowledgeable readers to help identify her.
Ps-She is Munawwar Sultana. I thank our knowledgeable readers for this identification.
Zia Sarhadi is the lyricist. Music is composed by Naushad.
Lyrics of this song were sent to me by Atif M.
Audio
Video
Song-Alaah nigehbaan tera (Elaan)(1947) Singer-Ameerbai Karnataki, Lyrics-Zia Sarhadi, MD-Naushad
Lyrics(Provided by Atif M)
allah nigehbaan tera
allah nigehbaan
sadqe teri har baat pe
ho jaaye teri maan
allah nigehbaan
allah nigehbaan tera
allah nigehbaan
mat ro nanhe
jud jaayega
toota huya khilona
is duniya mein har shay sasti
chaandi ho ya sona
aa aa aa
mehengi hai faqat ik shay
mushkil se jo milti hai
kya tujh ko bata doon main
woh cheez dikha doon main
simti huyi duniya hai
phaila hua sehra hai
dil naam hai us shay ka
us behki huyi lay ka
pehloo mein dhadakta hai
din raat tadapta hai
aur sabse yeh kehta hai
main toot ke judta nahin
naazuk hai meri jaan
main gul hoon
mere dam se hai
aabaad gulistaan
allah nigehbaan tera
allah nigehbaan
sadqe teri har baat pe
ho jaaye teri maan
allah nigehbaan
is sheeshe ko mat todo
is chhaale ko mat phodo
simta hua toofaan hai
sehma hua armaan hai
beh nikla agar toofaan
kaanp uthhega har insaan
basta hai khuda is mein
banti hai qaza is mein
taareek zamaane mein hai
is dil se chiraaghaan
is dil se chiraaghaan
sunte hain ke allah hai
khud is ka nigehbaan
allah nigehbaan tera
allah nigehbaan
sadqe teri har baat pe
ho jaaye teri maan
allah nigehbaan
allah nigehbaan tera
allah nigehbaan
allah nigehbaan tera
allah nigehbaan
2 Responses to "Allah nigehbaan tera"

The protagonist is Munawwar Sultana.
A few corrections in the lyrics:
‘pehloo mein sadak ka hai’
should read
pehloo mein dhadakta hai
‘basti hai qaza is mein
taareekh zamaane mein hai’
should read
banti hai qaza is mein
taareek zamaane mein hai
(taareek = dark; qaza = destiny, fate, decree)
LikeLike

July 23, 2012 at 7:17 am
The actor is Munawar Sultana.
LikeLike