Baabu ghabraate hain
Posted July 17, 2018
on:This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.
Blog Day : | 3651 | Post No. : | 14498 |
“Raahgeer”(1969) was directed by Tarun Majumdar for Geetanjali-Chitradeep, Calcutta. The movie had Vishwajeet, Sandya Roy, Shashikala, Padma, Nirupa Roy, basant Chaudhary, Kanhaiyalal, Anwar Hussain, Pahadi Sanyal, Ifthikar, Prasenjit, Asit Sen, Chaman Puri, Savita Chatterji, Ram Avtar, Rasheed Khan, C S Dubey etc in it.
The movie had ten songs in it, and the songs were suprize packages. Four of these songs have been covered in the past.
Here is the fifth song from “Raahgeer”(1969) to appear in the blog. The song is sung by Asha Bhonsle and Kishore Kumar. Gulzar is the lyricist. Music is composed by Hemant Kumar.
Just listen to this rare song. You will agree with me that this movie contains lots of surprise packages and this song is one of them.
Song-Baabu ghabraate hain (Raahgeer)(1969) Singers-Asha Bhonsle, Kishore Kumar, Lyrics-Gulzar, MD-Hemant Kumar
Lyrics
babu ghabraate hain
babu ghabrate hain
chori chori aankhon se
chori chori aankhon se teer chalaate hain
beebi sach kehti ho
beebi sach kehti ho
chonch to hai baahar
aur ande mein rehti ho
beebi sach kahti ho
chhaila mere rangeele
dikhne mein bhole se
chakhne mein zahreele
dikhne mein gudiya ho
bholi bhaali samjhe thhe
mirchi ki pudiya ho
chale thhe gulaab lene dekho phulwaadi se
chale thhe gulaab lene dekho phulwaadi se
kaanton se ulajh baithe babu ye anaadi se
ah
pada nahin paala abhi aapka khilaadi se
tinke nikaalo beebi choron ki daadhi se
choron se rishta hai
choron se uljho jaake
banda farishta hai
umm hmm
fariste aapse hote hain aaj hi jaana
fariste aapse hote hain aaj hi jaana
zameen pe kaise huaa kahiye aapka aana
khuda ne aapko apna salaam bheja hai
mizaaj poochhne
aa haan mijaaj poochhne ko ye ghulaam bheja hai
waah
suna hai aapke rishte se chanda maama hain
khuda ke paas wahaan aapka nishaama hai
he he
kamaal karte hain
har baat boojh lete hain
biraadari ko
biraadari ko badi zaldi soongh lete hain
ye gamchha baandh ke kya haandi saaf karte hain
ham aapson ki tabeeyat ko saaf karte hain
ja tumhaare jaise bade majnu maare phirte hain
ki laila laila gali mein pukaar phirten hain
tumhi ko laila banaaya hai to jawaab nahin
kahin khuda ki tabeeyat bhi to kharaab nahi
bater jaisi do aankhen laga ke bhej diya
ya seedha kabr se waapas uthha ke bhej diya
jahaan mein aap jaisi aur koi cheez nahin
tameez seekho agar baat ki tameez nahin
tameez seekho agar baat ki tameez nahin
tameez seekho agar baat ki tameez nahin
tameez seekho agar baat ki tameez nahin
Leave a Reply