Atul’s Song A Day- A choice collection of Hindi Film & Non-Film Songs

Posts Tagged ‘S D Burman


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3654 Post No. : 14512

“Chaalis Baaba Ek Chor”(1954) was produced by Kamini Kaushal and it was directed by P L Santoshi. The movie had Kamini Kaushal, Balraj Sahni, Smriti Biswas, Om Prakash, David, Chandabai, Jagdeep etc in it.

The movie had twelve songs in it. Seven songs from this movie have been discussed in the past. Here is the eighth song from “Chaalis Baaba Ek Chor”(1954) to appear in the blog. This rare song is sung by Lata and Kishore Kumar alongwith chorus. P L Santoshi is the lyricist. Music is composed by S D Burman.

Only the audio of the song is available. I request our knowledgeable readers to throw light on the picturisation of this song.


Ae meri guinyaa dulha dulhaniya (Chaalis Baba ek Chor)(1954) Singers-Lata, Kishore Kumar, Lyrics-P L Santoshi, MD-S D Burman
Chorus

ae ae ae ae meri guinyaa
dulha dulhaniya
mil ke kar len jo saath phiraniya
to duniya
basi basi jaaye
he re duniya
duniya
basi basi jaaye

kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye

pehli phiraniya mein oye meri guinyyan
baat hai kya jo dekh dulhaniya
dulhwa
phiri phiri jaaye re dulhwa
dulhwa phiri phiri jaaye
ho o o
dulhwa
phiri phiri jaaye re dulhwa
dulhwa phiri phiri jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye

dooji phiraniya mein
ae mori guniyya
baat hai kya jo dekh dulhaniya
dulhwa ruki ruki jaaye
re dulhwa
dulhwa ruki ruki jaaye
ho o
dulhwa ruki ruki jaaye re dulhwa
dulhwa ruki ruki jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye

teeji phiraniya mein
o meri guinyyaan
baat hai kya jo dekh dulhaniya
dulhwa jhuki jhuki jaaye
re dulhwa
dulhwa jhuki jhuki jaaye
o o o
dulhwa jhuki jhuki jaaye re dulhwa
dulhwa jhuki jhuki jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye

haaye
ye dilli ki phuljhadiyaan
hai laayi khushi ki ghadiyaan
ye patne ke pataakhe
phooten to karen dhamaake
yoon badle roop dhuwaan ke
jaise faujen gayin hon lad
ho jaise
fauzen gayin hon lad
ho jaise jaise jaise

chauthi phiraniya mein
oye meri guinyaan
baat hai kya jo dekh dulhaniya
dulhwa hati hati jaaye re dulhwa
dulhwa hati hati jaaye
o o o
dulhwa hati hati jaaye re dulhwa
dulhwa hati hati jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye

paanchi phiraniya mein
oye meri guniyaan
baat hai kya jo dekh dulhaniya
dulhwa mudi mudi jaaye
re dulhwa
dulhwa mudi mudi jaaye
o o o
dulhwa mudi mudi jaaye re dulhwa
dulhwa mudi mudi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye

chhathhi phiraniya mein
oye meri guinyaan
baat hai kya jo dekh dulhaniya
dulhwa adi adi jaaye re dulhwa
dulhwa adi adi jaaye
o o o
dulhwa adi adi jaaye re dulhwa
dulhwa adi adi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye
kaanon mein kahi jaaye

haan
ye dilli ki phuljhadiyaan
hai laayi khushi ki ghadiyaan
ye phoolon ki phuljhadiyaan
hai laayi khushi ki ghadiyaan
ye patne ke pataakhe
uthhen to karen dhamaake
ye patne ke pataakhe
aur ye khandwe ke khataake
ye ?? ke chataake
aur phoote to karen dhamaake


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3616 Post No. : 14417

“Naughty Boy”(1962) was produced and directed by Shakti Samanta. The movie had Kishore Kumar, Kalpana, Omprakash, Sundar, Madan Puri, Kanu Roy, Krishnkant, Kundan, Praveen Paul, Shivraj, Sulochana Cahtterji, Prretibala, Nand Kishore, Masud, Paachhi, Manjula, Samar Chatterji, Kamaldeep, etc in it.

The movie had eight songs in it. Five songs from this movie have been discussed in the past.

Here is the sixth song from the movie to appear in the blog. This song is sung by Kishore Kumar and chorus. Shailendra is the lyricist. Music is composed by S D Burman.

The song is picturised as a picnic song on Kishore Kumar and others. Towards the end of the song, we find them ending up on a beach/ sea shore.

I request our knowledgeable readers to help identify the other revelers in this picnic song.

The song initially has some gibberish words (or may be words in some other languages). I request our readers with keener ears to help correct the lyrics wherever applicable.

Audio

Video

Song-Rang ye duniya badalti hai badal ja pyaare (Naughty Boy)(1962) Singer-Kishore Kumar, Lyrics-Shailendra, MD-S D Burman
Female chorus
Male chorus
All chorus
Kishore Kumar + All chorus

Lyrics

chistakoba nakoba nakoba nakoba naka
peshta
ta peshta

jua pua pa
jua pua pa
jua pua pa

chistakoba nakoba nakoba nakoba naka peshta ta peshta
jua pua pa
jua pua pa
jua pua pa

rang yeh duniya badalti hai
badal ja pyaare
tu bhi jeevan ke naye saanche mein dhal ja pyaare

hey
hi hi hi hi hi
hey
haan ham nahin khelenge
haan jaao
hey
oy
hey
oy
hey

rang yeh duniya badalti hai
badal ja pyaare
tu bhi jeevan ke naye saanche mein dhal ja pyaare

mausam aaye mausam jaaye
phir khil jaayen kaliyaan
mausam aaye mausam jaaye
phir khil jaayen kaliyaan
apne aap khulti jaayen armaanon ki galiyaan
tu bhi bhool ke sabko
are tu bhi bhool ke sabko
aaj mana rang raliyaan
rang yeh duniya badlti hai
badal ja pyaare

dil ka saaz jab chhid jaaye
dhadkan gaane gaaye
arrey dil ka saaz jab chhid jaaye
dhadkan gaane gaaye
phir ek shaam ki pehchaan afsaana ban jaaye
jeevan woh dhaara hai
arrey jeevan woh dhaara hai
jo bandh ke rah na paaye
rang yeh duniya badalti hai
badal ja pyaare
tu bhi jeevan ke naye saanche mein dhal ja pyaare

jab tak saans tab tak aas
sach kehte ho yaaron
arrey jab tak saans tab tak aas
sach kehte ho yaaron
hain din chaar mauj bahaar
kal ko goli maaro
jab tak jaisi guzre
arrey jab tak jaisi guzre
hanste huye guzaaro
rang yeh duniya badalti hai
badal ja pyaare
tu bhi jeevan ke naye saanche mein dhal ja pyaare

bolo re
rang yeh duniya badalati hai
badal ja pyaare
tu bhi jeevan ke naye saanche mein dhal ja pyaare


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3526 Post No. : 14166

“Baarood”(1976) was directed by Pramod Chakravorty for Jugnu Enterprises, Bombay. The movie had Rishi Kapoor, Shoma Anand, Ashok Kumar, Ajit, Reena Roy, Prem Chopra, Madan Puri, Dr.Sriram Laagoo, Sujit Kumar, David Abraham, Raj Mehra, Asit Sen, Master Raju Shreshtha, Rajendranath, Om Shivpuri, Manmohan, Birbal, Asrani, Azaad etc in it, with Dharmendra and Hema Malini in special appearances.

The movie had five songs in it. Four songs from the movie have been covered in the past. Here are the details of these four songs :-

Song Title

Post No.

Post Date

I love you you love me 5879 27-Apr-12
Matlab jo samjhe mere sandes ka 6639 14-Sep-12
Tu shaitaanon ka sardaar hai 11250 6-Jul-15
Samundar samundar yahaan se wahaan tak 14161 13-Mar-18

Here is the fifth and final song from “Baarood”(1976) to appear in the blog. The song is sung by Lata. Anand Bakshi is the lyricist. Music is composed by S D Burman.

The song is picturised on Shoma Anand and Rishi Kapoor, who are supposed to be flying on hand glider, but the picturisation shows them only in close up, and it is amply clear that they only posed with stationary hang gliders.

Lyrics of this song were sent to me by Prakashchandra.

With this song, “Baarood”(1976) joins the list of movies that have all their songs covered in the blog.

Audio

Video

Song-Dil Kaanton mein uljhaaya hai (Baarood)(1976) Singer-Lata, Lyrics-Anand Bakshi, MD-S D Burman

Lyrics(Provided by Prakashchandra)

Dil kaanton mein uljhaaya hai
ke ek dushman pe pyaar aayaa hai
dil kaanton mein uljhaaya hai
ke ek dushman pe pyaar aayaa hai
shola shabnam mein lehraaaya hai
ke ek dushman pe pyaar aayaa hai
dil kaanton mein

jaadoo sa chalne laga hai
mausam badalne laga hai
jaadoo sa chalne laga hai
mausam badalne laga hai
lagta hai mere seene se
dil baahar nikalne laga hai
sheeshaa patthar se takraayaa hai
ke ek dushman pe pyaar aayaa hai
dil kaanton mein uljhaaya hai
ke ek dushman pe pyaar aayaa hai
dil kaanton mein

na paas aane diya hai
na door hone diya hai
na paas aane diya hai
na door hone diya hai
na honthon ko hansne diya hai
na aankhon ko rone diya hai
badaa zaalim ne tadapaaya hai
ke ek dushman pe pyaar aaya hai
dil kaanton mein uljhaaya hai
ke ek dushman pe pyaar aaya hai
dil kaanton mein

aisa sitam karoon kaise
sainyaan banaa ye na jaane
jab tak ho sakaa ye hamse
hum roothhe rahe nahin maane
yehi gussa ye rang laaya hai
ke ek dushman pe pyaar aaya hai
dil kaanton mein uljhayaa hai
ke ek dushman pe pyaar aayaa hai
sholaa shabnam mein lehraayaa hai
ke ek dushman pe pyaar aayaa hai
dil kaanton mein


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3525 Post No. : 14161

“Baarood”(1976) was directed by Pramod Chakravorty for Jugnu Enterprises, Bombay. The movie had Rishi Kapoor, Shoma Anand, Ashok Kumar, Ajit, Reena Roy, Prem Chopra, Madan Puri, Dr.Sriram Laagoo, Sujit Kumar, David Abraham, Raj Mehra, Asit Sen, Master Raju Shreshtha, Rajendranath, Om Shivpuri, Manmohan, Birbal, Asrani, Azaad etc in it, with Dharmendra and Hema Malini in special appearances.

The movie had five songs in it. Three of these songs have been covered in the past.

Here is the fourth song from “Baarood”(1976) to appear in the blog. This movie and several of songs were picturised on foreign locations. This song is no exception. This song is picturised on a yatch(Il hope it is called a yatch) where Shoma Anand lip syncs this seduction song for the benefit of Rishi Kaapoor. One cute dog is also present there, duly tied up.

Anand Bakshi is the lyricist. Music is composed by S D Burman.

Lyrics of this song were sent to me by Prakashchandra.

Audio

Video

Song-Samundar Samundar yahaan se wahaan tak(Baarood)(1976) Singer-Lata, Lyrics-Anand Bakshi, MD-S D Burman

Lyrics(Provided by Prakashchandra)

hmm hmmm
samundar samundar
yahaan se wahaan tak
ye maujon ki chaadar
bichhee aasmaan tak
mere meharbaan
meri hadd hai kahaan tak
yahaan tak
hmmm yahaan tak
yahaan tak
samundar samundar
yahaan se wahaan tak
ye maujon ki chaadar
bichhee aasmaan tak
mere meharbaan
meri hadd hai kahaan tak
yahaan tak
to yahaan tak
achcha yahaan tak

main karti hoon vaadaa
uthhaati hoon kasmein
ye bulbul rahegi
sada tere bas mein
main karti hoon vaadaa
uthhaati hoon kasmein
ye bulbul rahegi
sada tere bas mein
mujhe qaid karte ho
kyon is kafas mein
main udakar bhi jaaoongi
aakhir kahaan tak
ye maujon ki chaadar
bichhee aasmaan tak
mere meharbaan
meri hadd hai kahaan tak
yahaan tak
bolo yahaan tak
humhhhhh yahaan tak

mohabbat se ye keh rahi hai jawaani
sitam ho chuke ab karo meharbaani
mohabbat se ye keh rahi hai jawaani
sitam ho chuke ab karo meharbaani
haseen pyaar ki koi chhedo kahaani
chali aayee hai baat dil ki zubaan tak
ye maujon ki chaadar
bichhee aasmaan tak
mere meharbaan
meri hadd hai kahaan tak
yahaan tak
hmmmm yahaan tak
yahaan tak
samundar samundar
yahaan se wahaan tak
ye maujon ki chaadar
bichhee aasmaan tak
mere meharbaan
meri had hai kahaan tak
achcha yahaan tak
to yahaan tak
hahaha yahaan tak


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3513 Post No. : 14113

“Miss India”(1957) was directed by I S Johar for Rawal Pictures, Bombay. This movie had Nargis, Pradeep Kumar, Nishi, Shammi, Tuntun, Sheela Vaz, Minoo Mumtaz, I S Johar, Pran etc in it.

Mr. K Satish Shenoy, while writing about an earlier song of this movie had given the story of this song. Here is what he had to say about the movie:-

The movie “Miss India” is not about a beauty contest winner. The movie refers to the leading lady as “Miss India”, because the character is about an educated, self reliant, righteous young lass who fights for her rights, against injustice and comes out a winner.

Nargis graduates as a lawyer. Her father puts out a matrimonial advt asking for a match for the educated lady without expecting dowry. An imposter (Pradeep Kumar) marries her & absconds, abandoning her, & taking away her jewellery. She comes to the city, in search of him, & to reform him & continue her married life (& not to catch him & punish him- –after all she is a Bhararatiya Naari ! 🙂 .

After few fruitless days she finds him, but he is unable to recognise her (since he ran away without lifting her ‘ghoongat’.! –That is typical Bollywood!). At this point she befriends him in the guise of a young lad, so as to buy time to reform him. This disguise also helped her find a job.

To cut a long story short, she manages to make him realise his misdeeds and in the end they unite. In the final scenes there is a court case where all riddles are resolved and judge notes the trouble Nargis has gone through and says she is a role model and should be referred to as “Miss India”!!

“Miss India”(1957) had ten songs in it. Nine of them have been covered in the past. Here are the details of the songs that have already been covered:-

Song Title

Post No.

Post Date

O mere sajnaa aaja re aaja (Miss India) 1785 22-Aug-09
Aaha badla zamaana waah waah badla zamaana (Miss India) 1913 13-Sep-09
Jaise ko taisaa nahle pe dahlaa (Miss India) 2574 2-Jul-10
Jaaun main kahaan ye zameen ye aasmaan chhod ke (Miss India) Multiple version song 3311 9-Dec-10
Baad e saba kuchh to bata (Miss India) 10200 2-Sep-14
Albela main ik dilwaala (Miss India) 11620 1-Dec-15
Thhokar naseeb ki jo khaa kar bhi muskuraaye (Miss India) 13463 23-Jul-17
Gori zara mukhde se ghoonghat hataao na (Miss India) 14107 28-Feb-18

Here is the tenth and final song from “Miss India”(1957). The song is sung by Asha Bhonsle and Manna Dey. Rajinder Krishan is the lyricist. Music is composed by S D Burman.

Only the audio of this song appears to be available. I request our knowledgeable readers to throw light on the picturisation of this song.

Though the singers, lyricist and music director are all legends and they all have had long and distinguished careers, but it may surprise some to know that this is the only Manna Dey-Asha Bhonsle duet created by the lyricist-MD combination of Rajinder Krishan and S D Burman. In fact, Rajinder Krishna and S d Burman worked together only in five movies. This movie was the last occasion when the came toether in a movie.

With this song, “Miss India”(1957) joins the list of movies that have all their songs covered in the blog.


Song-Maalik ne haath kaahe do do diye (Miss India)(1957) Singers-Asha Bhonsle, Manna Dey, Lyrics-Rajinder Krishan, MD-S D Burman
Male chorus
Female chorus
Both
All

Lyrics

maalik ne haath kaahe do do diye
tu kaam kare pet bhare jab tak jiye
maalik ne haath kaahe do do diye
tu kaam kare pet bhare jab tak jiye

he he he
malik ne haath kaahe do do diye
tu kaam kare pet bhare jab tak jiye
hey hey hey
hey hey hey hey hey hey
hey hey hey hey hey hey
hey

uthhaaye ja o chhokri
ye zindagi ki tokri

uthhaaye ja o chhokri
ye zindagi ki tokri

rozi halaal ki
mehnat ki naukri
rozi halaal ki
mehnat ki naukri

khaana haraam hai jo mile bina kaam kiye
maalik ne haath kaahe do do diye
tu kaam kare pet bhare jab tak jiye

he he he
maalik ne haath kaahe do do diye
tu kaam kare pet bhare jab tak jiye
hey hey hey
hey hey hey hey hey hey
hey hey hey hey hey hey
hey

rookhi sookhi khaayenge
paseena bahaayenge

rookhi sookhi khaayenge
paseena bahaayenge

kaahe kisi ki ghulaami uthhaayenge
kaahe kisi ki ghulaami uthaayenge
banda jo apni kamaai ki khaaye piye
maalik ne haath kaahe do do diye
tu kaam kare pet bhare jab tak jiye

he he he
maalik ne haath kaahe do do diye
tu kaam kare pet bhare jab tak jiye
hey hey hey
hey hey hey hey hey hey
hey hey hey hey hey hey
hey

zaroorat hai car ki
na resham ke taar ki
zaroorat hai car ki
na resham ke taar ki

pahli bhookh pet ki
dooji hai pyaar ki

pahli bhookh pet ki
dooji hai pyaar ki

mehnat ke baad chalen haathon mein haath liye
hey
haathon mein haath liye

maalik ne haath kahe do do diye
tu kaam kare pet bhare jab tak jiye
hey hey hey
hey hey hey hey hey hey
hey hey hey hey hey hey
hey


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3513 Post No. : 14112

“Deewaangi”(1976) was produced by Subodh Mukherji and directed by Sameer Ganguly. The movie had Shashi Kapoor, Zeenat Aman, Helen, Manju, Mehmood, Madan Puri, Narendra Nath, Paintal etc in it.

The movie had six songs in it.

Here is the first song from “Deewaangi”(1976) to appear in the blog. This song is sung by Kishore Kumar. Anand Bakshi is the lyricist. Music is composed by S D Burman.

The song is picturised as a roothna-manaana song on Shashi Kapoor and Zeenat Aman.

This song was the only song of the movie which was composed by S D Burman. He expired before he could compose other songs. The remaining five songs were later composed by Ravindra Jain.

With this song, all Hindi relaesed movies with music by S D Burman (except one movie ) have now been represented in the blog. “Chittor Vijay”(1947) is the only movie with S D Burman’s music which is missing from the blog because songs from this movie are not available to us as of now.

With this song, “Deewaangi”(1976) makes itd debut in the blog.

Audio

Video

Song-Chal sapnon ke shahar mein tujhe le jaata hoon (Deewaangi)(1976) Singer-Kishore Kumar, Lyrics-Anand Bakshi, MD-S D Burman

Lyrics

ae
suno to
kyun roothhi ho
maan jaao na
hmm hmm hmm
hmm hmm hmm hmm hmm
hmm hmm

chal sapnon ke shahar mein tujhe le jaata hoon
chal sapnon ke shahar mein tujhe le jaata hoon
teri raahon mein sitaare main bikhraata hoon
chal sapnon ke shahar

tu kis liye mehnat kare
tu hai mohabbat ke liye haseena
teri kasam
kya hai sitam
tere badan se kyun chamakta hai paseena
ho ho ho
main tere haathon ke chhaalon se jal jaata hoon
chal sapnon ke shahar mein tujhe le jaata hoon
chal sapnon ke shahar

kadmon ki dhool ban kar ye phool
tere mere kadam choom rahe hain
har gham se door
masti mein choor
ban ke sharaabi se hum jhoom rahe hain
ho
ho ho ho
apni aashaaon ki main paalki le aata hoon
chal sapnon ke shahar mein tujhe le jaata hoon
chal sapnon ke shahar

gore gore
phoolon jaise paanv mein
shabnam ki paayal padi hai
heere moti
pahne huye
sheeshmahal mein tu pari ban ke khadi hai
hmm
hmm hmm
maine jo dekha hai tujhko bhi dikhlaata hoon
chal sapnon ke shahar mein tujhe le jaata hoon
teri raahon mein sitaare main bikhraata hoon
chal sapnon ke shahar


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3512 Post No. : 14107

“Miss India”(1957) was directed by I S Johar for Rawal Films, Bombay. The movie had Nargis, Pradeep Kumar, Nishi, Shammi, Tuntun, Sheela Vaz, Minoo Mumtaz, I S Johar, Pran etc in it.

This movie had ten songs in it. Eight songs have been covered in the past.

Here is the ninth song from the movie to appear in the blog. The song is sung by Asha Bhonsle. Rajinder Krishan is the lyricist. Music is composed by S D Burman.

The song is a dance song. It is picturised on Sheila Vaz and Narula, according to the uploader of the song. I can identify Sheila Vaz, but I had never heard of Narula before. I request our knowledgeable readers to tell us more on her.


Song-Gori zara mukhde se ghoonghat hataao na (Miss India)(1957) Singer-Asha Bhonsle, Lyrics-Rajinder Krishan, MD-S D Burman

Lyrics

gori zara mukhde se ghoonghat hataao na
na
na
aisa bhi kya hai
sooratiya dikhaao na
na na na
gori zara
gori zara mukhde se ghoonghat hataao na
aisa bhi kya hai
sooratiya dikhaao na
na na na

shaadi se pahle sawere sawere
teri gali ke lagaate thhe phere
shaadi se pahle sawere sawere
teri gali ke lagaate thhe phere
yaad karo
yaad karo beeti wo batiyaan
bhulaao na
bhulaao na
gori zara
gori zara mukhde se ghoonghat hataao na
aisa bhi kya hai
sooratiya dikhaao na
na na na

ho o o
yaad karo ek din ambuwa ke ped tale
dholak ke sang sang
naache thhe shaam dhale
yaad karo karo
yaad
ek din ambuwa ke ped tale
dholak ke sang sang
naache the shaam dhale
bachpan ke
bachpan ke geet wahi phir se sunaao na
sunaao na
gori zara
gori zara mukhde se ghoonghat hataao na
aisa bhi kya hai
sooratiya dikhaao na
na na na

kaahe ko aayi ye zaalim jawaani
bhool gayi ekdum wo batiyaan puraani
kaahe ko aayi ye zaalim jawaani
bhul gayi ekdum wo batiyaan puraani
is’se to acha hai maike chae jaao na
na na na na
gori zara mukhde se ghoonghat hataao na
aisa bhi kya hai
sooratiya dikhaao na


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3510 Post No. : 14103

“Jugnu”(1973) was produced and directed by Pramod Chakraborty for Pramod Films, Bombay. The movie had Dharmendra, Hema Malini, Pran, Prem Chopra, Manmohan, Raj Mehra, Lalita Pawar, Nazeer Hussain, Randheer, Shameem, Asha Potdar, Kamal Kapoor, Brahm Bhardwaj, Kanu Roy, Rajan Kapoor, Paresh Nanda, Khursheed, Ratan Gaurang, Birbal, Sabeena, Mona, Parwez, Master Alankar, Master Ravi, Master Satyajit, Bhanumati, Shyam Kumar, Fakira, with special appearances by Sujit Kumar, Sonia Sahni, Ajit, Dhumal, Jayshree T and Mehmood.

The movie, though described as a “social” movie, was a crime thriller.

I had seen this movie during its second run in 1973.

The movie had six songs in it. The movie had three female solos sung by Lata, two male solos sung by Kishore Kumar and one duet. The movie had a “jhumka” song and a “Paayal song”, and also a “helicopter” song.

Five of these songs have been covered in the blog. Here are the details of the earlier five songs from the movie covered in the blog.

Song Title

Post No.

Post Date

Gir gaya jhumka girne do 713 9-Feb-09
Meri paayaliya geet tere gaaye haaye 999 30-Mar-09
Deep deewaali ke jhhoothhe 3179 5-Nov-10
Pyaar ke is khel mein do dilon ke mel mein 4923 31-Oct-11
Jaane kya pilaaya toone bada maza aaya 14095 24-Feb-18

Here is the sixth and final song from “Jugnu”(1973) to appear in the blog. This song is sung by Lata. Anand Bakshi is the lyricist. Music is composed by S D Burman.

The song is picturised as a roadside tamasha song which serves the dual purpose of passing on message in code to Dharmendra who is on a mission of stealing a valuable diamond. I am unable to identify the lady lip syncing this phadakta hua dance song. I request our knowledgeable readers to help identify her.
PS- (i)She is Jayshree T.
(ii) I was posting this article under duress, viz with my better half looking on disapprovingly and repeatedly ordering me to stop all this work on the computer. 🙂

With this song, “Jugnu”(1973) joins the list of movies that have all their songs covered in the blog.

Audio

Video

Song-Chale aana peepal ke neeche (Jugnu)(1973) Singer-Lata, Lyrics-Anand Bakshi, MD-S D Burman

Lyrics

chale aana
chale aana peepal neeche piya mulaakaat ko
chale aana peepal neeche piya mulaakaat ko
jab baagon mein jugnu
jab baagon mein jugnu chamke
aadhi raat ko
jab baagon mein jugnu chamke
aadhi raat ko
jab baagon mein jugnu

laa laa laa laa laa
laa laa laa laa laa
taaron ki hai chaanv rakhna dheere dheere paanv
bairi jaag na jaaye gaanv
taaron ki hai chaanv rakhna dheere dheere paanv
bairi jaag na jaaye gaanv
chhori chhori kehna sun’na saiyya dil ki baat ko
chhori chhori kehna sun’na saiyya dil ki baat ko
jab baagon mein jugnu
jab baagon mein jugnu chamke aadhi raat ko
jab baagon mein jugnu chamke aadhi raat ko
jab baagon mein jugnu

rakhna yeh khayal tere aage peechhe jaal
upar neeche dil ka haal
arre rakhna yeh khayal tere aage peechhe jaal
upar neeche dil ka haal
chupke aana theek baara baje jumme raat ko
chupke aana theek baara baje jumme raat ko
jab baagon mein jugnu
jab baagon mein jugnu chamke aadhi raat ko
jab baagon mein jugnu chamke aadhi raat ko
jab baagon mein jugnu

dulha raaja dekh tu akela bas ek
tere dushman anek
dulha raaja dekh tu akela bas ek
tere dushman anek
dhoka deke tu nikal aana baraat ko
dhoka deke tu nikal aana baraat ko
jab baagon mein jugnu
stop it


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3508 Post No. : 14095

“Jugnu”(1973) was produced and directed by Pramod Chakraborty for Pramod Films, Bombay. The movie had Dharmendra, Hema Malini, Pran, Prem Chopra, Manmohan, Raj Mehra, Lalita Pawar, Nazeer Hussain, Randheer, Shameem, Asha Potdar, Kamal Kapoor, Brahm Bhardwaj, Kanu Roy, Rajan Kapoor, Paresh Nanda, Khursheed, Ratan Gaurang, Birbal, Sabeena, Mona, Parwez, Master Alankar, Master Ravi, Master Satyajit, Bhanumati, Shyam Kumar, Fakira, with special appearances by Sujit Kumar, Sonia Sahni, Ajit, Dhumal, Jayshree T and Mehmood.

The movie, though described as a “social” movie, was a crime thriller. The movie had six songs in it. Four of these songs have been covered in the past.

Here is the fifth song from “Jugnu”(1973) to appear in the blog. This song is sung by Lata. Anand Bakshi is the lyricist. Music is composed by S D Burman.

The song is picturised as a rain song cum female drunkaard song cum expression of love song on Hema Malini and Dharmendra.

Audio

Video

Song-Jaane kya pilaaya toone bada maza aaya (Jugnu)(1973) Singer-Lata, Lyrics-Anand Bakshi, MD-S D Burman

Lyrics

hmm hmm
jaane kya pilaaya toone
bada maza aaya
jaane kya pilaaya toone
bada maza aaya
jhoom uthhi re main mastaani deewaani jaani
jaane kya pilaaya toone
bada maza aaya

paayal nahin ghunghru nahin
chham chham kaise ye hone lagi
dhoondho mujhe main khone lagi
ho paayal nahin ghunghru nahin
chham chham kaise ye hone lagi
dhoondho mujhe main khone lagi
hua kya mujhe
ui tauba
main na jaani
jhoom uthhi re main mastaani deewaani jaani
jaane kya pilaaya toone
bada maza aaya

aisa laga
toone piya
kheencha najariya ki dor se
dhadka mera dil
zor zor se
hmm
aisa laga toone piya
kheencha najariya ki dor se
dhadka mera dil
zor zor se
tera naam leke boli
meri jawaani
jhoom uthhi re main mastaani deewaani jaani
jaane kya pilaaya toone
bada maza aaya

hmm
hmm hmm
hmm hmm hmm hmm
mere balam
mere nazar
maare sharam ke jhukne lage
chalta zamaana rukne lage
hmm
mere balam mere nazar
maare sharam ke jhukne lage
chalta zamaana rukne lage
aise waqt chheda koi aisi kahaani
jhoom uthhi re main mastaani deewaani jaani
jaane kya pilaaya toone
bada maza aaya
jaane kya pilaaya toone
bada maza


This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day : 3499 Post No. : 14059

“Jyoti”(1969) was produced by A Devdas and directed by Dulal Guha for Chitra Mitra productions. The movie had Sanjeev Kumar, Nivedita, Aruna Irani, Abhi Bhattacharya, Tarun Bose, Moppet Soorja aka Sarika, Lalita Kumari, Jagdeep, Gopal Saigal, Pardesi, Shekhar Purohit etc in it.

The movie had five songs in it. Four of these songs have been covered in the past. Here are the details of the four songs that have been covered in the past :-

Song Title

Post No.

Post Date

Soch ke ye gagan jhoome abhi chaand nikal aayegaa 1799 24-Aug-09
Sun munne mere aa maine tujhe 11440 1-Oct-15
Pag mein ghunghroo chhanke 13099 1-Apr-17
Aankh meri galti se lad gayi 14021 6-Feb-18

Here is the fifth and final song from “Jyoti” (1969) to appear in the blog. The song is sung by Lata and Usha Mangeshkar. Anand Bakshi is the lyricist. Music is composed by S D Burman.

The song is picturised as a Lord Krishn bhajan song on Nivedita and her kid. Her kid is shown growing up as the bhajan progresses and by the time the last stanza appears, the kid grows up to become baby Sarika who(she plays the son, I think) joins Nivedita in singing the last stanza of the bhajan. Sanjeev Kumar, not quite as god fearing as his adarsh bhartiya naari wife, is seen tearing his hair apart at all this bhajan singing. 🙂

With this song, “Jyoti” (1969) joins the list of movies that have all their songs covered in the blog.


Song-Mere Shyaam mere Nandlaala (Jyoti)(1970) Singers-Lata, Usha Mangeshkar, Lyrics-Anand Bakshi, MD-S D Burman
Both

Lyrics

Hey Krishn Kkarunasindhu
deenbandhu jagatpati
Gopesh Gopikakant
Radhakant
namastute

mere shyaam
mere nandlaala aa
mere shyaam
mere nandlaala
sagre jagat ka hai tu hi rakhwaala
mere shyaam
mere nandlaala
ho o sagre jagat ka hai tu hi rakhwaala
mere shyaam
mere nandlaala aa
mere shyaam
mere nandlaala

jeewan apna hai kya giridhaari
praan hamaare tere pujaari
jeewan apna hai kya giridhaari
praan hamaare tere pujaari
saans ki dori tere naam ki maala
mere shyaam
mere nandlaala
sagre jagat ka hai tu hi rakhwaala
mere shyaam
mere nandlaala

vrindaavan ki kunj galiyan mein
aaj bhi madhuban ki kaliyan mein
vrindaavan ki kunj galiyan mein
aaj bhi madhuban ki kaliyan mein
dhoondhhti hogi tujhe koi brijbaala
mere shyaam
mere nandlaala
ho o sagre jagat ka hai tu hi rakhwaala
mere shyaam
mere nandlaala

chaahe na maane saari nagariya
maine suni hai teri baansuriya
chaahe na maane saari nagariya
maine suni hai teri baansuriya

main kaise maanoon nahin
ho o o o
main kaise maanoon nahin baansuriwaala
mere shyaam
mere nandlaala aa
mere shyaam
mere nandlaala
sagre jagat ka hai tu hi rakhwaala
mere shyaam
mere nandlaala aa
mere shyaam
mere nandlaala


What is this blog all about

This blog discusses Bollywood songs of yesteryears. Every song has a brief description, followed by a video link, and complete lyrics of the song.

This is a labour of love, where “new” songs are added every day, and that has been the case for over FIFTEEN years. This blog has over 18300 song posts by now.

This blog is active and online for over 5000 days since its beginning on 19 july 2008.

Important Announcement

(© 2008 - 2024) atulsongaday.me The content of this site is copyrighted and it may not be reproduced elsewhere without prior consent from the site/ author of the content.

Total number of songs posts discussed

18347

Number of movies covered in the blog

Movies with all their songs covered =1431
Total Number of movies covered=4961

Total visits so far

  • 16,542,318 hits

Enter your email address to subscribe to this blog and receive notifications of new posts by email.

Join 2,008 other subscribers

Bookmark

Bookmark and Share

Category of songs

Current Visitors

Historical dates

Blog Start date: 19 july 2008

Active for more than 5000 days.

Archives

Stumble

visitors whereabouts

blogadda

blogcatalog

Music Blogs - BlogCatalog Blog Directory