Aa ke ab aata nahin dil ko qaraar
Posted November 28, 2009
on:I had not heard about this movie called “Mehbooba” (1954). Now I know that this was a movie starring Shammi Kapoor and Nalini Jaiwant. Though it must be said that Shammi Kapoor was more like a struggler than a star at that time.
Here is a sad sentimental song from this movie that is sung by Lata and it is picturised on Nalini Jaiwant. Tanvir Naqvi is the lyricist and Roshan composed the music. In the picturisation, one can see glimpses of a young looking Shammi Kapoor too.
Song-Aa ke ab aata nahin dil ko qaraar(Mehbooba) (1954) Singer-Lata, Lyrics-Tanvir Naqvi, MD-Roshan
Lyrics
aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar
aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar
raah takte thak gayaa hai intazaar
aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar
is qadar bechain hai duniyaa meri
is qadar bechain hai duniyaa meri
dil ki har dhadkan mein hai aahat teri
aarzuen ho rahin hain beqaraar
aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar
dil sadaayen de rahaa hai tu kahaan
dil sadaayen de rahaa hai tu kahaan
muntazir hain chaand taare aasmaan
ye hawaayen ye fizaayen ye bahaar
aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar
paas tere wo haseen raaten gayin
paas tere wo haseen raaten gayi
pyaar ki rangeen mulaaqaaten gayin
rah gayaa hai dard dil ki yaadgaar
aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar
aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar
raah takte thak gayaa hai intazaar
aa ke ab aataa nahin dil ko qaraar
Leave a comment