Bhar bhar ke jaam pilaa de saaqi banaa de matwaala
Posted August 17, 2012
on:“Yasmeen” (1955) was a Musical Pictures Presentation. It was directed by A R Kardar. The movie had Suresh, Vyjyantimala, Jayant, Shyam Kumar, S. N. Banerjee, Maruti, Rashid Khan etc in it.
As many as six songs from this movie have been discussed in the past. Here is the sixth song from this movie. This song is a drunkard song where the saaqi (played by Vyjyantimala) is exhorted by the drunkards to get them drunk. It is an interesting song where the chorus does the bulk of singing and the lead singer(Lata) sings relatively lesser portion of the song.
Jaan Nisaar Akhtar is the lyricist. Music is composed by C Ramchandra.
Lyrics of this song were sent to me by Nitin Shah.
Audio
Video
Song-Bhar bhar ke jaam pilaa de saaqi bana de matwaala (Yasmin)(1955) Singer-Lata, Lyrics-Jaan Nisaar Akhtar, MD-C Ramchandra
Female Chorus
Female chorus + Male chorus
Lyrics(Provided by Nitin Shah)
aa jaa
aa jaa aa jaa mere saaqi
hasrat hai dil mein baaqi
ulfat ka jaam pila jaa
jeene ka dhang bata jaa
aa jaa aa jaa
aa jaa aa jaa
aa jaa aa jaa
aa jaaa
ye kisne pukaara hai mujhe
ae
kisne pukaara
hai kaun talabgaar mera
kaun hai pyaara
bhar bhar ke jaam pilaa de
bhar bhar ke jaam pilaa de
saaqi bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
sharaab-e-husn nazar se pilaane aayi hoon
oon oon oon
main ek ek ko bekhud banaane aayi hoon
sharaab-e-husn nazar se pilaane aayi hoon
oon oon oon
main ek-ek ko be-khud banane aayi hoon
ada se naaz se abroo ke ek ishaare se
ada se naaz se abroo ke ek ishare se
dilo mein ishq ka jaadu jagaane aayi hoon
bhar bhar ke jaam pilaa de
bhar bhar ke jaam pilaa de
saaqi bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
nazar milaao to dil ko qaraar aa jaaye
har ek ada pe meri tum ko pyaar aa jaaye
uthaao jaam ke jannat se kam nahin duniya
uthaao jaam ke jannat se kam nahin duniya
piyo piyo ke tumhe aitbaar aa jaaye
piyo piyo ke tumhe aitbaar aa jaaye
bhar bhar ke jaam pilaa de
bhar bhar ke jaam pilaa de
saaqi bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
wo muskura ke nigaahen milaaye jaate hain
ain ain ain ain
suroor bann ke mere dil pe chhaaye jaate hain
wo muskura ke nigaahen milaaye jaate hain
ain ain ain ain
suroor bann ke mere dil pe chhaaye jaate hain
mili hai aaj jo unki nazar se meri nazar
mili hai aaj jo unki nazar se meri nazar
to haay mere qadam dagmagaaye jaate hain
bhar bhar ke jaam pilaa de
bhar bhar ke jaam pilaa de
saaqi bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
bhar bhar ke jaam pilaa de
bhar bhar ke jaam pilaa de
saaqi bana de matwala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
tu laa laa laa
bass bana de matwaala
Leave a Reply