Ae bhai zara dekh ke chalo
Posted January 4, 2013
on:Today (4 january 2013) is the 89th birthday of poet Neeraj (DOB 4 january 1924). Neeraj, who made his debut as a lyricist in 1960s, had a chequered career in Hindi movies from 1960s to 1980s. Unknown to music lovers, some of the memorable songs of 1960s and 1970s are penned by him. For instance, Aaj madhosh huaa jaaye re (Sharmili), Apne hothon ki bansi bana le mujhe (Gambler), tan man tere rang rangoogee (Archana), Bas yehi apraadh main har baar karta hoon (Pehchaan), Aaj ki raat bahi shokh badi natkhat hai (Nayi Umar Ki Nayi Fasal), Shokhiyon mein gholaa jaaye phoolon ka shabaab (Prem Pujaari) , Likhe jo khat tujhe(Kanyadaan) etc.
On the occasion of Neeraj’s birthday, here is a song from “Mera Naam Joker” (1970). This song is sung by Manna Dey. Neeraj is the lyricist and music is composed by Shankar Jaikishan.
This song is picturised on Raj Kapoor and he too utters a few words in the song. This song had won Filmfare’s best singer award, much to the bemusement of Manna Dey since he had not won this award before despite singing far more challenging songs in the past in Hindi movies.
Lyrics of this song were sent to me by Khyati Bhatt.
Video (Part I)
Video (Part II)
Video (Part III)
Audio (Full)
Song-Ae bhai zara dekh ke chalo (Mera Naam Joker)(1970) Singer-Manna Dey, Lyrics-Neeraj, MD-Shankar Jaikishan
Lyrics(Provided by Khyati Bhatt)
ae bhai zara dekh ke chalo
aage hi nahin
peechhe bhi
daayen hi nahin
baayen bhi
upar hi nahin
neeche bhi
ae bhai
ae bhai zara dekh ke chalo
aage hi nahin
peechhe bhi
daayen hi nahin
baayen bhi
upar hi nahin
neeche bhi
ae bhai
tu jahaan aaya hai
wo tera
ghar nahin
gali nahin
gaaon nahin
koochaa nahin
basti nahin
rasta nahin
duniya hai ae
aur pyaare
duniya ye circuss hai
aur circus mein
bade ko bhi
chhote ko bhi
khare ko bhi
khote ko bhi
dooble ko bhi
mote ko bhi
neeche se upar ko
upar se neeche ko
aana jaana padta hai
aur ring master ke kode par
koda jo bhookh hai
koda jo paisa hai
koda jo kismat hai
tarah tarah naach ke dikhaana yahaan padta hai
baar baar rona aur gaana yahaan padta hai
hero se
ae
hero se joker ban jaana padta hai
ae bhai
ae bhai zara dekh ke chalo
aage hi nahin
peechhe bhi
daayen hi nahin
baayen bhi
upar hi nahin
neeche bhi
ae bhai
girne se darta hai kyun
marne se darta hai kyun
thhokar tu jab tak na khaayega
paas kisi gham ko na jab tak bulaayega
zindagi hai cheez kya gyaan nahin paayega
rota hua aaya hai
rota chalaa jaayega
ae bhai
ae bhai zara dekh ke chalo
aage hi nahin
peechhe bhi
daayen hi nahin
baayen bhi
upar hi nahin
neeche bhi
ae bhai
ae bhai zara dekh ke chalo
aage hi nahin
peechhe bhi
daayen hi nahin
baayen bhi
upar hi nahin
neeche bhi
ae bhai
kya hai karishma kaisa khilwaad hai
hop hop
jaanwar aadmi se jyaada wafaadaar hai
hop hop
khaata hai koda bhi
rehta hai bhookha bhi
phir bhi wo maalik pe karta nahin waar hai
aur insaan ye
maal jiska khaata hai
pyaar jis se paata hai
geet jis ke gaata hai
uske hi seene mein bhaunkkta kataar hai
haaa aa
kahiye shrimaan aap ka kya veechaar hai?
maal jiska khaata hai
pyaar jis se paata hai
geet jis ke gaata hai
uske hi seene mein bhaunkta kataar hai
ae bhai
ae bhai zara dekh ke chalo
aage hi nahin
peechhe bhi
daayen hi nahin
baayen bhi
upar hi nahin
neeche bhi
ae bhai
circus?
haaa aaa
haa baabu ye circus hai
aur ye circus hai show teen ghante ka
pehla ghanta bachpan hai
doosra jawaani hai
teesra buddhaapa hai
aur uske baad?
maa nahin
baap nahin
beta bahin
beti nahin
tu naihn
main nahin
ye nahin
wo nahin
kuchh bhi nahin
kuchh bhi nahin rehta hai
rehta hai jo kuchh wo
khaali khaali kursiyaan hai
khaali khaali tamboo hai
khaali khaali ghera hai
bina aa
chidiyaa ka aa
basera hai
na tera hai ae
na mera hai
6 Responses to "Ae bhai zara dekh ke chalo"

Atulji,
Excuse me but pl correct the DOB in the first line as 4 Jan 1924.It strikes the eye.
DS
LikeLike


This was the only song for which Manna Dey won a filmfare award for best singer.
Nominations, he had 3 more.
LikeLike

January 4, 2013 at 11:10 pm
Atulji,
Thanks for posting this song. This song very famous and remember koi jab takraata thha, to sab yahin kehte thhe “ae bhai zara dekh ke chalo…..” Now, I can understand the depth/philosophy in the song.
Here is the link for full video I sent with lyrics-
LikeLike