O Kanhaiyya O Kanhaiyya
Posted February 1, 2013
on:“Kanhaiyya” (1959) was an S P Films production. It was produced by Sant Singh and Pachhi and directed by Om Prakash. The movie had Raj Kapoor, Nutan, Raj Mehra, Lalita Pawar, Madan Puri, Raaj Kumar, Om Prakash, Leela Mishra, Pachhi, Vishwa Mehra, Jagdish Sethi, Uma Dutt, Nasir Hussain, Sushil, Mauji, Uma Khosla, Sarita, Ratna, Mona etc in it.
As many as seven songs from this movie have been discussed in the past. Here is the eighth and final song from the movie.
This song is sung by Lata and chorus and it is picturised on Nutan and others.
Hasrat Jaipuri is the lyricist. Music is composed by Shankar Jaikishan.
Lyrics of this song were sent to me by Atif M.
With this song, “Kanhaiyya” (1959) joins the list of movies that have all their songs discussed in the blog.
Song-O Kanhaiyya o Kanhaiyya (Kanhaiyya)(1959) Singer-Lata, Lyrics-Hasrat Jaipuri, MD-Shankar Jaikishan
Chorus
Lyrics(Provided by Atif M)
o kanhaiya o kanhaiya
aaj aana khawaab mein
apni raadha ko galey se
tu lagaana khawaab mein
o kanhaiya o kanhaiya
aaj aana khawaab mein
apni raadha ko galey se
tu lagaana khawaab mein
nain hamaare tera mandir
aur yeh dil aarti
aur yeh dil aarti
le gayi hai dil hamaara
teri soorat saanwari
teri soorat saanwari
keh rahi hai gunguna kar
man ki koyal baawari
o kanhaiya o kanhaiya
aaj aana khawaab mein
apni raadha ko gale se
tu lagaana khawaab mein
jab suhaani shaam aaye
yaad aaye shyaam ki
yaad aaye shyaam ki
jap rahi hoon prem maala
main tumhaare naam ki
main tumhaare naam ki
tum nahin to meri vyaakul
zindagi kis kaam ki
o kanhaiya o kanhaiya
aaj aana khawaab mein
apni raadha ko galey se
tu lagaana khawaab mein
aaj palkon ke jharokhe mein
bula loongi tujhe
main bula loongi tujhe
dil ke singhasan pe mohan
main bitha loongi tujhe
main bitha loongi tujhe
donon aankhen meench loongi
aur chhupa loongi tujhe
o kanhaiya o kanhaiya
aaj aana khawaab mein
apni raadha ko galey se
tu lagaana khawaab mein
o kanhaiya o kanhaiya
aaj aana khawaab mein
February 1, 2013 at 4:54 pm
A Yiippeee! here
LikeLike