Agar tum na milte agar tum na aate
Posted March 26, 2013
on:“Beete Din” (1947) was directed by Ezra Mir. The movie had Motilal, Vanmala, Rekha S, Nazir, Solanki, L Ramesh, Baby Shyama, Sheela, Bibijan etc in it.
Here is a forgotten gem from this obscure movie. This song is sung by Amirbai Karnataki. There were apparently two lyricists (Pt Phani and H Tanvir) and two music directors (M A Rauf Osmania and Dinkar Rao) in this movie. I request our knowledgeable readers to throw more light on this movie as well as on the lyricist and music director of this song.
Song-Agar tum na milte agar tum na aate(Beete Din)(1947) Singer-Amirbai Karnataki, Lyrics-Pt Phani, H Tanvir, MD-M A Rauf Usmania, Dinkar Rao
Lyrics
Agar tum na milte
agar tum na aate
agar tum na milte
agar tum na aate
meri zindagi phool bankar na khilti
ye munh bhi na khulta
ye zabaan bhi na hilti
mere dil ke jazbaat soye hi rehte
mere dil ke jazbaat soye hi rehte
agar tum na aankhon mein ulfat jagaate
ulfat jagaate
ulfat jagaate
agar tum na aankhon mein ulfat jagaate
agar tum na milte
agar tum na aate
tadapti machalti
main dilshaad hoti
tadapti machalti
main dilshaad hoti
mere dil ki duniya na aabaad hoti
maze zindagi ke ye milte na mujhko
maze zindagi ke ye milte na mujhko
agar tum na mujhse muhabbat jataate
muhabbat jataate
muhabbat jataate
agar tum na mujhse muhabbat jataate
agar tum na milte
agar tum na aate
mere dil mein uthhta na armaan koi
mere ghar mein aata na mehmaan koi
mohabbat ka izhaar aankhen na kartin
mohabbat ka izhaar aankhen na kartin
agar tum na aankhon se aankhen milaate
aankhen milaate
aankhen milaate
agar tum na aankhon se aankhen milaate
agar tum na milte
agar tum na aate
March 26, 2013 at 10:36 am
Atul ji,
The MD for this song was M A RAUF.
Lyricist is not indicated.
LikeLike
March 26, 2013 at 11:17 am
Thanks for this information.
LikeLike