Aise bhi na roothho tum ke jeena mushqil ho
Posted March 26, 2018
on:This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in sites like lyricstrans.com and ibollywoodsongs.com etc then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.
Blog Day : | 3538 | Post No. : | 14208 |
“Daawat”(1974) was produced by Dilip Dutt and directed by B R Ishaara. The movie had Sanjeev Kumar, Dilip Dutt, Raza Murad, Satish Kaul, Sarita, Manmohan Krishnan, Jaishree Gadkar, Johnny Walker, Pammi etc in it.
This obscure movie had four obscure songs in it. Here is the first song from “Daawat”(1974) to appear in the blog. The song is sung by Mukesh and Asha Bhonsle. Naqsh Llayalpuri is the lyricist. Music is composed by Bipin Baabul.
Only the audio of the song is available. Lisateing to the song, one can guess that it is a “sulking-appeasing” genre of song. I request our knowledgeable readers to throw light on the movie as well as on the picturisation of the song.
With this song, “Daawat”(1974) makes its debut in the blog.
Song-Aise bhi na roothho tum ke jeena mushqil ho (Daawat)(1974) Singers-Mukesh, Asha Bhonsle, Lyrics-Naqsh Llayalpuri, MD-Bipin Babul
Lyrics
aise bhi na rootho tum ke jeena mushqil ho
aise bhi na rootho tum ke jeena mushqil ho
ja re piya jaana nahin toone mere dil ko
aise bhi na rootho tum ke jeena mushqil ho
aise bhi na rootho tum ke jeena mushqil ho
dil mera leke yoon na dil ka karaar lo
mukhde pe bikhri si zulfen sanwaar lo
dil mera leke yoon na dil ka karaar lo
mukhde pe bikhri si zulfen sanwaar lo
ghadiyaan ye pyaar ki na beete takraar mein
rang bhari shaam galey mil ke guzaar lo
ja re piya jaaana nahin toone mere dil ko
aise bhi na rootho tum ke jeena mushqil ho
aise bhi na rootho tum ke jeena mushqil ho
ja ja ke mile tu shahar ke ujaalon se
rista hi kya hai
rista hi kya hai tera ab gaanv waalon se
mujhko hansaaye kabhi mujhe rulaaye tu
mujhko hansaaye kabhi mujhe rulaaye tu
samjha hai toone kya khilauna mere dil ko
aise bhi na rootho tum ke jeena mushqil ho
aise bhi na rootho tum ke jeena mushqil ho
jitne bharam hain wo dil se nikaal do
chupke se baahen meri baahon mein daal do
waada karo ke kabhi tum nahin todoge
waada karo ke kabhi tum nahin todoge
wada karo ke kabhi tum nahin todoge
piya mere sapnon ke sheesh mahal ko
aise bhi na rootho tum ke jeena mushqil ho
aise bhi na rootho tum ke jeena mushqil ho
ja re piya jaana nahin toone mere dil ko
aise bhi na rootho tum ke jeena mushqil ho
aise bhi na rootho tum ke jeena mushqil ho
3 Responses to "Aise bhi na roothho tum ke jeena mushqil ho"

video link featuring Satish Kaul and Pammi(NEW FIND) as per title sequence of the movie

March 26, 2018 at 4:11 pm
video featuring Satish Kaul
March 26, 2018 at 4:15 pm
is it new find PAMMI ???
clear video link of the song starts at 10:04 and ends at 14:25