Mele hai chiragon ke rangeen deewali hai
Posted on: October 27, 2008
The movie “Nazraana” of 1961 had not one but two deepawali songs. One was a happy deepaawali song and the other was the sad one. The sad deepaawali song ” ek wo bhi deewali this ek ye bhi deewali hai” is the most pupular song of this movie.
Today is Deepawali, I present the lesser known deepawali song on this occasion. And I wish happy deepawali to all the visitors of this blog.
Song- Mele hain chiraagon ke rangeen deewali hai(Nazraana) (1961) Singer-Lata, Lyrics-Rajinder Krishan, MD-Ravi
Lyrics
Mele hain chiraagon ke
rangeen deewali hai
mahka hua gulshan hai
hansta hua maali hai
Mele hain chiraagon ke
rangeen deewali hai
mahka hua gulshan hai
hansta hua maali hai
Iss raat koi dekhe dharti ke nazaaron ko
sharmaate hain ye deepak aakash ke taaron ko
Iss raat koi dekhe dharti ke nazaaron ko
sharmaate hain ye deepak aakash ke taaron ko
is raat ka kya kahna
is raat ka kya kahna
ye raat nirali hai
mahka hua gulshan hai
hansta hua maali hai
Mele hain chiraagon ke
rangeen deewali hai
mahka hua gulshan hai
hansta hua maali hai
Khaa jaaye nazar dhokha
jugnu hai yaa phuljhadiyan
Khaa jaaye nazar dhokha
jugnu hai yaa phuljhadiyan
baraat hain taaron ki
ya rang bhari ladiyan
baraat hain taaron ki
ya rang bhari ladiyan
hothon pe traaane hain
hothon pe traaane hain
bajti huyi taali hai
mahka hua gulshan hai
hansta hua maali hai
Mele hain chiraagon ke
rangeen deewali hai
mahka hua gulshan hai
hansta hua maali hai




October 27, 2008 at 7:39 pm
Lovely and lively song.
LikeLike