Baahon mein teri masti ke ghere
Posted May 24, 2012
on:It turns out that today (24th may) is Rajesh Roshan’s birthday. Though it is late by Indian standards, but the day is still 24th of may. So I can slip in a Rajesh Roshan song just in the nick of time.
Here is this nice Rafi Lata duet from “Kaala Patthar” (1979). The song is written by Sahir Ludhianvi and it is composed by Rajesh Roshan.
The song is picturised on Shahshi Kapoor and Parveen Babi.
Lyrics of this song were sent to me by Prakashchandra.
Video – Partial
Audio – Full
Song-Baahon mein teri masti ke ghere (Kala Patthar)(1979) Singers-Lata, Rafi, Lyrics-Sahir Ludhianvi, MD-Rajesh Roshan
Lyrics(Provided by Prakashchandra)
baahon mein teri
masti ke ghere
saanson mein teri khushboo ke dere
baahon mein teri
masti ke ghere,
masti ke ghere
saanson mein teri
khushboo ke dere,
khushboo ke dere
masti ke gheron mein,
khushboo ke deron mein
hum khoye jaate hain
baahon mein teri
masti ke ghere,
masti ke ghere
saanson mein teri
khushboo ke dere,
khushboo ke dere
masti ke gheron mein,
khushboo ke deron mein
hum khoye jaathe hain
baahon mein teri
masti ke ghere,
masti ke ghere
khwaabon mein jisko tanhaa jawaani
barson se takti thi,
tu wohi hai
chhoone se jiske seene mein mere
lau jaag sakti thi,
tu wohi hai
kuchch khwaab mere,
kuchch khwaab tere
yoon milte jaate hain,
dil khilte jaate hain
lab gungunaate hain
saanson mein teri
khushboo ke dere,
khushboo ke dere
baahon mein teri
masti ke ghere,
masti ke ghere
bikhraake zulfein
jhuk jaao mujhpe
milne do saayaa
tapte badan ko
maine hameshaa teri amaanat
samjhaa hai apne
jaan aur tan ko
tu saath mere,
main saath tere
roohon ke roohon se
jismon ke jimson se
sadiyon ke naate hain
saanson mein teri
khushboo ke dere,
khushboo ke dere
baahon mein teri
masti ke ghere,
masti ke ghere
masti ke gheron mein,
khushboo ke deron mein
hum khoye jaate hain
saanson mein teri
khushboo ke dere,
khushboo ke dere
baahon mein teri masti ke ghere,
masti ke ghere
November 25, 2018 at 5:43 pm
audio link
LikeLike