Atul’s Song A Day- A choice collection of Hindi Film & Non-Film Songs

Chhai chhapa chhai chhapaak chhai

Posted on: August 18, 2020


This article is written by nahm, a fellow enthusiast of Hindi movie music and a contributor to this blog. This article is meant to be posted in atulsongaday.me. If this article appears in other sites without the knowledge and consent of the web administrator of atulsongaday.me, then it is piracy of the copyright content of atulsongaday.me and is a punishable offence under the existing laws.

Blog Day :

4414 Post No. : 15818

This is Gulzar !

— KITAABEN —

Kitaaben jhaankti hain band almaari ke sheeshon se
badi hasrat se takti hain
mahinon ab mulaqaaten nahin hotin
jo shaamen unn ki sohbat mein kata karti thhin, ab aksar
guzar jaati hain computer ke pardon par
badi bechain rehti hain kitaaben
unhen ab neend mein chalne ki ‘aadat ho gayi hai

badi hasrat se takti hain
jo qadren wo sunaati thhin
ke jin ke cell kabhi marte nahin thhe
wo qadren ab nazar aati nahin ghar mein
jo rishte wo sunaati thhin
wo saare udhde udhde hain

koyi safha palat-ta hoon to ik siski nikalti hai
kayi lafzon ke ma’ani gir pade hain
bina patton ke sukhe tund lagte hain vo alfaaz
jin par ab koyi ma’ani nahin ugte
bahut se istelaahen hain
jo mitti ki sakoron ki tarah bikhri padi hain
gilaason ne unhen matruk kar daala

zaban par zaiqa aata thha jo safhe palatne ka
ab ungli click karne se bas ek
jhapki guzarti hai
bahut kuchh tah-ba-tah khultaa chalaa jaata hai parde par
kitaabon se jo zaati raabta thha kat gayaa hai
kabhi seene pe rakh ke let jaate thhe
kabhi godi mein lete thhe
kabhi ghutnon ko apne rehal ki soorat bana kar
neem sajde mein padha karte thhe, chhute thhe jabeen se
wo saara ilm to milta rahegaa ‘aayinda bhi
magar wo jo kitaabon mein milaa karte thhe sookhe phool aur
mehke huey ruq’ae
kitaaben maangne, girne utthaane ke bahane rishte bante thhe
unn ka kya hogaa
wo shayad ab nahin honge !

—– GULZAR

I think the above poem is enough as introduction and ta’aruf of Gulzar Sahab.
Faced with such ‘qalaam’, what does it matter when and where he was born. Yes, Gulzar sahab has turned 86 today. May he live to be 186 or more, as long as he creates such ‘naayab nageene’ as nazmen and naghme.

— Urdu zabaan —-

Ye kaisa ishq hai urdu zaban kaa,
mazaa ghultaa hai lafzon ka zuban par
ki jaise paan mein mehenga qimaam ghultaa hai
ye kaisa ishq hai urdu zaban kaa….

nasha aataa hai urdu bolne mein
gilauri ki tarah hain munh lagi sab isltelaahen
lutf deti hai, halaq chhooti hai urdu to,
halaq se jaise mai ka ghunt utarta hai

badi aristocracy hai zaban mein
faqeeri mein nawaabi ka mazaa deti hai urdu
agarche ma’ani kam hote hain urdu mein
alfaaz ki ifraat hoti hai

magar phir bhi buland awaaz padhiye
to bohat hi mu’atabar lagti hain baaten
kahin kuchh dur se kaanon mein padhti hai agar urdu
to lagtaa hai ke din jaadon ke hain khidki khuli hai,
dhoop andar aa rahi hai

ajab hai ye zaban urdu
kabhi kahin safar karte agar koyi musaafir
sher padh de ‘mir’, ‘ghalib’ ka
wo chaahe ajnabi ho,
yahi lagtaa hai wo mere watan ka hai
badi sha’ista lehje mein kisi se urdu sun kar
kya nahin lagtaa ki ek tehzeeb ki awaaz hai urdu.

—– GULZAR ——-

How true the above thoughts are, so inherently accurate for urdu, the spoken language.

Thanks dear ‘Peevesie’s Mom’, for reminding me of Gulzar Sahab birthday and this movie ‘Hu Tu Tu’ and its deeply meaningful songs, written by Gulzar sahab.
Also a well composed and picturised song. Composer is Vishal Bharadwaj and singers are mainly Lata Mangeshkar and Hariharan. There are more voices singing some goan rhythm at the start and koli folk song in the middle.

But the star of the show is Gulzar sahab’s unmatched poetry.

Audio :

Video :

Song-Chhai chhappa chhai chhapaak chhai (Hu tu tu ) (1999) Singers- Hariharan, Lata, Lyrics-Gulzar, MD-Vishal Bhardwaj

Lyrics (As per audio)

Rum chirapiraira
Rumm chirapiraira
Rummp
Rai rai rummp…
Chirapiraira rai rai
Rum chirapiraira
Rumm chirapiraira
Rummp
Rai rai rummp…
Chirapiraira rai rai

Chhai chhappa chhai
chhapaak chhai
Paaniyon pe chheeten udaati hui ladki
Chhai chhappa chhai
chhapaak chhai
Paaniyon pe chheeten udaati hui ladki
Dekhi hai ham ne
Aati hui lehron pe jaati hui ladki
Chhai chhappa chhai
chhapaak chhai
kabhi kabhi baaten teri achhi lagti hain
Chhai chhappa chhai
chhapaak chhai
kabhi kabhi baaten teri achhi lagti hain
phir se kehna aa
aati yui lehron pe
jaati hui ladki he

dhoondhaa karenge tumhen saahilon pe ham mmm
ret pe ye pairon ki mohren na chhodnaa aa aa
nahin ee
dhoondhaa karenge tumhen saahilon pe ham mmm
ret pe ye pairon ki mohren na chhodnaa aa aa
saara din lete lete sochegaa samandar
aate jaate logon se puchhegaa samandar
sahib rukiye zara aa
arrey dekhi kisi ne
aati hui lehron pe jaati hui ladki hey
Chhai chhappa chhai
chhapaak chhai
kabhi kabhi baaten teri achhi lagti hain
Chhai chhappa chhai
chhapaak chhai
la la la la
la la la la
la la la
la la la

oo dol doltai wareyavar
baai maajhi
dol dotai warryavar
………
Dol doltai paanyawar
bai maajhi dol doltai paanyawar

———-

likhte rahen hain tumhen roz hi magar
khwaahishon ke khat kabhi bheje hi nahin
nahin..

ha ha ha aaa
likhte rahen hain tumhen roz he magar
khwaahishon ke khat kabhi bheje hi nahin
ainak lagaa ke kabhi padhna wo chitthiyaan
aankhon ke paani mein rakhnaa wo chitthiyaan
tayrti nazar aayegi janaab
gote khaati
aati hui lehron pe jaati hui ladki

Chhai chhappa chhai
chhapaak chhai
Paaniyon pe chheete udaati hui ladki
Chhai chhappa chhai
chhapaak chhai
Paaniyon pe chheeten udaati hui ladki
Dekhi hai ham ne
Aati hui lehron pe jaati hui ladki hey
Chhai chhappa chhai
chhapaak chhai
kabhi kabhi baaten teri achhi lagti hain

hey Chhai chhappa chhai
Chhai chhappa chhai
chhapaak chhai
Aati hui lehron pe jaati hui ladki hey

Leave a comment

This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

What is this blog all about

This blog discusses Bollywood songs of yesteryears. Every song has a brief description, followed by a video link, and complete lyrics of the song.

This is a labour of love, where “new” songs are added every day, and that has been the case for over FIFTEEN years. This blog has over 18200 song posts by now.

This blog is active and online for over 5000 days since its beginning on 19 july 2008.

Important Announcement

(© 2008 - 2024) atulsongaday.me The content of this site is copyrighted and it may not be reproduced elsewhere without prior consent from the site/ author of the content.

Total number of songs posts discussed

18283

Number of movies covered in the blog

Movies with all their songs covered =1404
Total Number of movies covered=4947

Total visits so far

  • 16,430,813 hits

Enter your email address to subscribe to this blog and receive notifications of new posts by email.

Join 2,007 other subscribers

Bookmark

Bookmark and Share

Category of songs

Current Visitors

Historical dates

Blog Start date: 19 july 2008

Active for more than 5000 days.

Archives

Stumble

visitors whereabouts

blogadda

blogcatalog

Music Blogs - BlogCatalog Blog Directory